Posts Tagged ‘Jaimala’

Jaimala program : Now in Better Audio

Sunday, September 27th, 2015

Jaimala

*** Exclusive: Geeta Dutt presenting Jaimala program in her own voice ***

Jaimala is a program that has been aired on the Vividh Bharti station of All India Radio since it’s early days. It is a one hour program that exclusively plays requests from soldiers posted at the front. Once a week they have a special where a celebrity associated with the film world plays his/her own selection. Over the years a number of prominent personalities have hosted this program and these programs are a fascinating archive of their thoughts, ideas and musical selection.

Playback singer Geeta Dutt (nee Roy) presented this program in the year 1969, just three years before her untimely death on 20th July 1972.

Earlier we presented the text of this program and the songs played in this post. Now we are presenting the complete audio of this program where one can listen to the speaking voice of Geeta Dutt. Please bear with the little disturbance in the audio recording.

Mere pyare fauji bhaiyon, aaj aapse baaten karte huye mujhe bahut prasannata ho rahi hai. Pehla geet phool maine mahaan kalakar K L Saigal ke awaaz mein chuna hai.

Song 1: Karoon kya aas niraas bhayi (Dushman)

Arzoo sahab ka likha yeh geet tha film Dushman ka, jiske sangeetkaar the Pankaj Mullick. Main jab gaana shuru kiya, us samay ke naami gayakon mein se the Shamshad Begum, Kanan Devi, Amirbai Karnataki, Zohrabai Amabalewali, Krishna Chandra Dey, Pankaj Mullick aur K L Saigal. Saigal sahab Uttar Bhartiya hote huye bhi Bangla bahut achchhi tarah bol sakte the aur isliye Bangal mein we kaafi lokpriya the. Ab main apne zamaane ki sabse jyaada lokpriy gayika Lata Mangeshkar ka gaaya ek geet sunwane jaa rahi hoon, film ka naam hai Durgesh Nandini.

Song 2: Kahaan le chale ho bata do musafir (Durgesh Nandini)

Rajinder Krishna ka likha yeh geet tha, sangeetkaar the Hemant Kumar. Hemant dada sangeetkaar banne se bahot pehle ek gaayak the. Film Jaal mein unka gaaya huya yeh geet mujhe aksar yaad aa jaati hai.

Song 3: Yeh raat yeh chaandni phir kahaan (Jaal)

Abhi jo geet aapne suna use likha tha Sahir Ludhianvi ne aur suron se sajaya Sachin Dev Burman ne. Burman dada ka sangeetkaaron mein ek vishesh sthaan hai. Unhi ke direction mein aaj se lagbagh 21 saal pehle film Do Bhai ke liye geet gaaye the. Mera sundar sapna beet gaya, Humein chhod piya kis des gaye aur yaad karoge yaad karoge, inhee geeton se log muhe jaanne lage the. Burman daada ki bahut si dhunon par gaane ka awsar mujhe mila hain. Unhi mein se ek hai film Sujata ka yeh geet jise Majrooh Sultanpuri ne likha thaa.

Song 4: Nanhi kali sone chali hawa dheere aana (Sujata)

Ab main prastut karti hoon film Dekh Kabira Roya ka Manna Dey ka gaaya ek geet. Kisiko dekhte hi sapnon ka ek sansaar jaag uthaa. Man use pehchaanta hain, lekin aankhen us se anjaan hain. Aur hothon par aa jaata hain kaun aaya mere man ke dwaare paayal ki jhankaar liye. Rajender Krishen ki rachana ko Madan Mohan ne sangeet baddh kiya hain.

Song 5: Kaun aaya mere man ke dwaare (Dekh Kabira Roya)

Ab main apna hi gaaya film Shart ka ek geet sunwati hoon . Film Shart ke liye S H Bihari ne likha hai aur Hemant dada ne swarbaddha kiya hai. Is prem geet mein anantkaal tak apne priyatam ka saath dene ka vaada hai.

Song 6: Na yeh chaand hoga na taare rahenge (Shart)

Ab mere saamne hai film Pyaasa ka record. Aur isi ke saath yaad aa rahi hai mere jeevan ki sukh bhari dukh bhari yaaden, lekin aapko yeh sab batakar kya karoongi. Mere mann ki is samay ki haalat ka andaaza aap achchhi tarah lagaa sakte hain agar aap jaante hain ki Is film ke naayak nirmata nirdeshak the mere patidev Guru Dutt hain.

Song 7: Aaj sajan mohe ang lagaa lo janam safal ho jaaye (Pyaasa)

Mere patidev sahi arth mein kalakaar the. Woh jo kuchh bhi karte bahut mehnat aur lagan se karte. Filmon ke zariye apne vichaaron ko vyakt karte.

Song 8: Jinhe naaz hain Hind par (Pyaasa)

Yeh geet bhi film Pyaasa ka tha. Yeh dono geet Sahir ne likhe aur Burman dada ne unki dhun banaayi. Agle geet mein Aasha aur umang ki jhalak hain. Baadlon ke chhaon mein chhota sa ghar banane ke sapne. Aur lagta hain chaand sitaare sab apne hain, sirf apne. Geetkar Shailendra sangeetkar Salil Chaudhary aur Gaayak Kishore Kumar film Naukri mein

Song 9: Chhota sa ghar hogaa (Naukri)

Is kaarykram ka antim geet bhi main apne patidev ki film Saheb Biwi Aur Ghulam se chuna hain. Geetkaar Shakeel aur sangeetkaar Hemant Kumar. Ab kabhi kabhi mujhe lagta hain ki yeh geet ke bhaav paatron se bhi zyaada mere apne bhaavon ka bayaan hain.

Song 10: Na jaao saiyaan chhudake baiyaan (Saheb Biwi Aur Ghulaam)

Pyaar fauji bhaayiyon, is kaaryakram ka samay ab samapt ho rahaa hain. Main bhi aap se ijaazat chaahti hoon. Aasha hain isi tarah kabhi phir mulaakat hogi. Jai Hind.

A Story of the Generosity of Geeta ji in the words of Kaifi Azmi

Monday, May 11th, 2015

Lyricist and Poet Kaifi Azmi sahab has told an incident on the Jaimala Gold program on Vividh-bharati in the year 1988.

The producers of Uski Kahani (1966) wanted to have the song “Aaj ki kali ghata” sung by Geeta ji but could not afford to pay any money to her. Kaifi Azmi had earlier penned the lyrics of the film Kagaz Ke Phool which were sung by Geeta Dutt ji. The producer of the film requested Kaifi sahab to convince Geeta ji to sing the song without asking for any money.

In spite of the fact that Geeta ji herself was in great financial difficulties in those times, she sang this song for free. And she sang the song with the same passion and love (and intensity) with which she was known for.

Quote :

Filmi gaano ki mahuliyat se yeh bahut zaroori hai woh jis film ka gaana ho woh film maqbool ho. agar film naakaam rehti hai to uski har cheez naakaam ho jaati hai. meri do teen baDi baDi filmen naakaam ho gayi haalaanki gaane unke bhi maqbool huye. phir bhi filmi duniya mein yeh mashoor ho gaya ki Kaifi likhte to achchha hain lekin
sitaare unke Kharaab hain. isiliye filmkaar aksar mera naam sunkar apne kaano mein haath rakh lete the. uske baad kuchh dino tak main bilkul bekaar aur bahut zyaada pareshaan raha.

inhi haalat mein GareebKhaane par ek chhoTi si gaaDi se kuchh 10-11 aadmi utre. unko dekhte hi koi bhi samajh letaa ki yeh log filmwaale hain. maine Khushi Khsuhi unka swaagat kiya. unmein ek ‘director’ saahab bhi the jo bahut baatooni, bahut be-takalluf aadmi the.

Unhone baiThte baiThte mujhse poochh liya ki ‘aajkal aapke paas zyaada filmen to naheen hai?’.
Maine kaha ‘zyaada kya ek bhi film mere haath mein naheen hai’.
Mere is jawaab se woh Khush ho gaye. Maine poochh bhi liya ki ‘huzoor ismein Khush hone ki kya baat hai? aapko to mujhse hamdardi honaa chaahiye’.

Unhone farmaaya ki ‘main ek film banaa raha hoon aur ham sab chaahte hain ki aap uske wokaale bhi likhen aur
gaane bhi’.

mere paas jab koi filmsaad ya hidaayatgaar film ka ‘offer’ lekar aata hai to Khushi bhi hoti hai aur GhabraahaT bhi. GhabraahaT isliye ki abhi poochhenge ki ‘aap muhaafza kya lenge?’

Yeh sawaal sunke hamesha mujhe paseena aa jaata hai. jo sawaal karta hai woh bhi thoDaa ghabraata hai lekin is film mein aisa kuchh naheen huya. Main un 10-11 aadmiyon ke chehre ko dekh raha tha ki ab koi muhaafze ki baat chheDega lekin kisi ne aisa koi sawaal naheen kiya.

Main sochne lagaa ki gaano aur wokaalon ka woh kam se kam jo muhaafza denge woh bhi itna to zaroor hogaa ki bekaari ke dino mein jitna karz mujhpar ho gaya hai woh adaa ho jaaye. yeh sochkar maine naukar ko aawaaz dee ki ‘chaai le aao’. jaise hi maine likhne ki zimmedaari qabool kar lee aur woh hazraat jaane lage to ‘director’ saahab ne
nihaayat betakallufi se apna ektarfa faisla sunaa diya ki ‘is film mein aapko koi muhaafza naheen milega, agar film chalee to dekhaa jaayega’,

Main aam taur se bolta bhi kam hoon aur hansta bhi kam hoon lekin us waqt itni mehnat karke muskuraaya ki mere chehre par dhuyaan uDne lagaa. Khair, maine gaana likha aur ‘music director’ ne uski bahut achchhi dhun bhi banaaee.

Ab sawaal yeh paida huya ki gaana gaaye kaun? ‘music director’ ki khwaahish thi ki agar yeh gaana Geeta
Dutt ki aawaaz mein ‘record’ ho jaaye to woh maqbool hoga, lekin Geeta Dutt ko muhaafza kaun dega?

Maine Kagaz Ke Phool ke gaane likhe the aur Geeta Dutt ne gaane gaaye the. Zamaane mein unse kuchh jaan-
pehchaan ho gayi thi. ‘director saahab ne mujhse kahaa ki ‘Geeta-ji se agar aap kahen to woh hargiz inkaar na karengi’, maine kahaa ki ‘mujhe bhi aisa lagta hai ki woh inkaar naheen karengi’.

Itne dinon mein ‘director’ saahab ke saath uThne baiThne se mujhmein bhi yeh hausla paida ho gaya ki ek din main ‘director’ saahab aur poori ‘team’ ko lekar Geeta-ji ke ghar pahunch gaya. unko gaane ke bol aur dhun itne achchhe lage ki woh bhi kisi muhaafze ke baGair gaane ko tayyaar ho gayeen. aur unhone usi pyar se woh gaana gaaya
jisse Geeta Dutt pehchaani jaati theen.

Song: aaj ki kaali ghaTaa mast matwaali ghaTaa (Uski Kahani)

Thanks to Sujoy and Vividh Bharti Yahoo group for sharing this heartwarming story.