'','B'=>'','C'=>'','D'=>'','E'=>'','F'=>'','G'=>'','H'=>'','I'=>'','J'=>'','K'=>'','L'=>'','M'=>'','N'=>'','O'=>'','P'=>'','Q'=>'' ,'R'=>'','S'=>'','T'=>'','U'=>'','V'=>'','W'=>'','X'=>'','Z'=>'','AA'=>'','BB'=>'','CC'=>'','DD'=>'','EE'=>'','FF'=>'','GG'=>'','HH'=>'' ,'II'=>'','JJ'=>'','KK'=>'','LL'=>'','MM'=>'','NN'=>'','OO'=>'','PP'=>'','QQ'=>'','RR'=>'','SS'=>'','TT'=>'','UU'=>'','VV'=>'','WW'=>'' ,'XX'=>'','YY'=>'','ZZ'=>'','AB'=>'','AC'=>'','AD'=>'','AE'=>'','AF'=>'','Nai'=>'','AG'=>'','AH'=>'','AI'=>'','AJ'=>'','AK'=>'','AL'=>'' ,'AM'=>'','AN'=>'','AO'=>'','AP'=>'','AQ'=>'','AR'=>'','AS'=>'','AT'=>'','AU'=>'','AV'=>'','AW'=>'','AX'=>'','AY'=>'','AZ'=>''); // Default do NOT show any else { $allCodes = array('A'=>'none','B'=>'none','C'=>'none','D'=>'none','E'=>'none','F'=>'none','G'=>'none','H'=>'none','I'=>'none','J'=>'none','K'=>'none' ,'L'=>'none','M'=>'none','N'=>'none','O'=>'none','P'=>'none','Q'=>'none','R'=>'none','S'=>'none','T'=>'none','U'=>'none','V'=>'none' ,'W'=>'none','X'=>'none','Y'=>'none','Z'=>'none','AA'=>'none','BB'=>'none','CC'=>'none','DD'=>'none','EE'=>'none','FF'=>'none' ,'GG'=>'none','HH'=>'none','II'=>'none','JJ'=>'none','KK'=>'none','LL'=>'none','MM'=>'none','NN'=>'none','OO'=>'none','PP'=>'none' ,'QQ'=>'none','RR'=>'none','SS'=>'none','TT'=>'none','UU'=>'none','VV'=>'none','WW'=>'none','XX'=>'none','YY'=>'none','ZZ'=>'none' ,'AB'=>'none','AC'=>'none','AD'=>'none','AE'=>'none','AF'=>'none','Nai'=>'none','AG'=>'none','AH'=>'none','AI'=>'none','AJ'=>'none' ,'AK'=>'none','AL'=>'none','AM'=>'none','AN'=>'none','AO'=>'none','AP'=>'none','AQ'=>'none','AR'=>'none','AS'=>'none','AT'=>'none' ,'AU'=>'none','AV'=>'none','AW'=>'none','AX'=>'none','AY'=>'none','AZ'=>'none'); //Default do NOT show any $allCodes[$code] = ''; //Set display for the requested Code. } return $allCodes; } ?> Geeta Dutt - Lyrics of famous songs
 
 
(1930 - 1972)
 
 

Film - Toofan Aur Diya 1956
MD - Vasant Desai
Lyricist - Bharat Vyas
Singer(s) - Geeta Dutt

Aaya Re Aaya Re Aaya Bhaaji Waala
Na Hum Koi Sahab Hain, Na Maanus Hain Sarkaari
Arrey Hum Toh Bech Rahe Hain Babu, Hari-Bhari Takraari
Aaya Re Aaya Re Aaya Bhaaji Waala...
Phal Ki Bahaar Hai, Kele, Anaar Hain
Ambua Ke, Nimbua Ke Hum Hain Vyopaari
Phal Ki Bahaar Hai, Kele, Anaar Hain
Ambua Ke, Nimbua Ke Hum Hain Vyopaari
Phal Ki Bahaar Hai...

Banda Hai Seth Ka Par Dhandha Hai Peit Ka (2)
Aaj Gale Lagti Aur Kal Hai Woh Dhaari
Ambua Ke, Nimbua Ke Hum Hain Vyopaari
Phal Ki Bahaar Hai...

Aji Chakh Le Jo Mere Phal Ki Bahaar
Hoooo, Hoo, Hooo
Chakh Le Jo Mere Phal Ki Bahaar
Dikhne Lagegi Woh Rambha Si Naar (2)
Kakdi Si Chaal Ho, Makdi Se Baal Ho
Narangi Si Khaal Ho, Tamatar Se Gaal Ho
Naak Jaise, Naak Jaise Mooli Ki Nok Se Sanwaari
Ambua Ke, Nimbua Ke Hum Hain Vyopaari
Phal Ki Bahaar Hai...

Palle Mein Daam Hain Toh Galle Mein Aam Hain (2)
Aam Ke Hain Aam Aur Guthli Ke Daam Hain (2)
Hooo, Hooo Ooo Hoooo
Paise Ki Babu Na Karna Ji Khatpat, Khatpat, Khatpat Khatpat, Khatpat
Lena Hai Maal Toh Le Daalo Ji Jhatpat, Jhatpat, Jhatpat, Jhatpat, Jhatpat
Utha Lo, Oooo Hoo Hoo, Utha Lo Luta Di Humne Phulwaari
Ambua Ke, Nimbua Ke Hum Hain Vyopaari
Phal Ki Bahaar Hai, Kele, Anaar Hain
Ambua Ke, Nimbua Ke Hum Hain Vyopaari
Phal Ki Bahaar Hai
Aaya Re Aaya Re Bhaaji Waala!

Film - Dil Ki Rani 1947
MD - S.D.Burman
Lyricist - Harikrishna Premi
Singer(s) - Geeta Dutt

Aha More, Aha More Mohan Ne Mujhko Bulaaya, Mujhko Bulaaya
Ho Hoo Hoo Hoo
Aha More Mohan Ne Mujhko Bulaaya, Mujhko Bulaaya
Ho
Mujhko Bulaaya, Mujhko Bulaaya, Mujhko Bulaaya Ho..

Sakhiyon Bagheeche Se Phool Le Aao, Haan Phool Le Aao
Phoolon Se Mujhko Sajaao, Sajaao, Sajaao (2)
Baalam Ki Banki Dulhaniya Banaao, Oh Re Mohe
Baalam Ki, Baalam Ki Banki Dulhaniya Banaao
More Mohan Ne Mujhko Bulaaya, Mujhko Bulaaya
Ho
Mujhko Bulaaya, Mujhko Bulaaya, Mujhko Bulaaya Ho..

Asha Ki Paayal Baaje Chham Chham, Aaj Mori Duniya Chamki Cham Cham Cham
Cham Cham Cham Cham Cham Cham Cham
Asha Ki Paayal Baaje Chham Chham, Aaj Mori Duniya Chamki Cham Cham Cham
Cham Cham Cham Cham Cham Cham Cham
Naino Mein Unke Rahungi Hardum, Basungi Hardum
Aha More, Aha More Mohan Ne Mujhko Bulaaya, Mujhko Bulaaya
Ho Hoo Hoo Hoo
Mujhko Bulaaya, Mujhko Bulaaya, Mujhko Bulaaya Ho
Hoo Hoo Hoo
Aha More Mohan Ne Mujhko Bulaaya, Mujhko Bulaaya Ho!

Film - Darogaji 1949
MD - Bulo C.Rani
Lyricist - M.L.Khanna
Singer(s) - Geeta Dutt

Apne Saajan Ke Mann Mein Samaayi Re (2)
Ho More Naina Raseele, Kajraare Kateele (2)
Baali Umariya, Patli Kamariya, Naazuk Si Gori Kalaayi Re
Apne Saajan Ke Mann Mein Samaayi Re
Apne Saajan Ke Mann Mein Samaayi Re....

Sundar Mukhda, Baal Ghanere (2)
Chaand Ko Jaise Baadal Ghere (2)
Honthon Ki Laali Halki Halki (2)
Nainon Ki Madhira Chhalki Chhalki (2)
Mastti Bhari Angraayi Re (2)
Apne Saajan Ke Mann Mein Samaayi Re....

Chaal Chalun Toh Sau Sau Bal Khaaun Main (2)
Nadiya Si Ban Ke Behti Jaaun Main (2)
Mann Mein Uthe Hain, Chanchal Hilore (2)
Main Toh Apne Ko Dekh Sharmaayi Re
Apne Saajan Ke Mann Mein Samaayi Re (2)
Ho More Naina Raseele, Kajraare Kateele (2)
Baali Umariya, Patli Kamariya, Naazuk Si Gori Kalaayi Re
Apne Saajan Ke, Preetam Ke, Rasiya Ke
Apne Saajan Ke Mann Mein Samaayi Re
Apne Saajan Ke Mann Mein Samaayi Re!

Film - Ek Armaan Mera 1953
MD - S.D.Batish
Lyricist - Kaif Irfani
Singer(s) - Geeta Dutt

Aa Ke Shamma Ke Kareeb Jo Parwaana Palat Jaaye (3)
Toh Yeh Shamma Pe Parwaane Ka Hai Kitna Sitam, Kitna Sitam
Aa Ke Shamma Ke Kareeb Jo Parwaana Palat Jaaye...

Deke Husn Ko Awaaz, Kare Ishq Agar Naaz
Koi Deke Dil Ka Raaz, Jo Chhupaaye Dil Ka Raaz (2)
Toh Yeh Raaz Ke Chupaane Ka Hai Kitna Sitam, Haaye Kitna Sitam
Aa Ke Shamma Ke Kareeb Jo Parwaana Palat Jaaye....

Yeh Rang Yeh Bahaar, Yeh Phoolon Ka Caravan
Aise Mein Chhod Ke Mujhe Jaaoge Tum Kahan
Chhode Pakad Ke Haath Agar Tujhko Meharbaan
Toh Yeh Saath Na Nibhaane Ka Hai Kitna Sitam, Haaye Kitna Sitam
Aa Ke Shamma Ke Kareeb Jo Parwaana Palat Jaaye..

Dhadkan Bani Hai Phool, Mohabbat Bani Hai Saaz
Aise Mein Keh Do, Keh Do Zara Keh Do Dil Ka Raaz
Yoon Husn Ke Huzoor, Kare Ishq Agar Naaz
Toh Yeh Naaz Ke Sikhaane Ka Hai Kitna Sitam, Haaye Kitna Sitam
Aa Ke Shamma Ke Kareeb Jo Parwaana Palat Jaaye (3)
Toh Yeh Shamma Pe Parwaane Ka Hai Kitna Sitam, Kitna Sitam
Aa Ke Shamma Ke Kareeb Jo Parwaana Palat Jaaye!

Film - Lalpari 1954
MD - Hansraj Behl
Lyricist - Asad Bhopali
Singer(s) - Geeta Dutt

Aankh Ke Paimaane Pi, Zulf Ke Saaye Mein Jee, Muskuraa Le
Ho Ho Hoo, Dil Laga Le, O Ho Hoo Matwaale, Matwaale, Matwaale
Rut Hai Bahaar Ki, Raatein Hain Pyaar Ki
Thukra Na Aarzoo, Ek Beqaraar Ki
Rut Hai Bahaar Ki, Raatein Hain Pyaar Ki
Thukra Na Aarzoo, Ek Beqaraar Ki
Tujhko Kasam Armaanon Ki, Jalte Hue Parwaanon Ki, Muskuraa Le
Dil Laga Le, O Matwaale, Matwaale, Matwaale....

Mere Habeeb Aa, Dil Ke Kareeb Aa
Kismat Sanwaar Le, Ae Khushnaseeb Aa
Mere Habeeb Aa, Dil Ke Kareeb Aa
Kismat Sanwaar Le, Ae Khushnaseeb Aa
Yeh Hain Baatein Ishaaron Ki, Kar Le Sair Nazaaron Ki, Muskuraa Le
Dil Laga Le, O Matwaale, Matwaale, Matwaale....

Tu Hai Tanhaayi Hai, Main Hoon Angraayi Hai
Aankhon Mein Neend Ki Masti Si Chhayi Hai
Tu Hai Tanhaayi Hai, Main Hoon Angraayi Hai
Aankhon Mein Neend Ki Masti Si Chhayi Hai
Yeh Hai Ghadi Tadpaane Ki, Dil Se Dil Takraane Ki, Muskuraa Le
Dil Laga Le, O Matwaale, Matwaale, Matwaale
Aankh Ke Paimaane Pi, Zulf Ke Saaye Mein Jee, Muskuraa Le
Ho Ho Hoo, Dil Laga Le, O Ho Hoo Matwaale, Matwaale, Matwaale!

Film - Lalten 1956
MD - Hemant Kumar
Lyricist - Kaif Irfani
Singer(s) - Geeta Dutt

Agar Pyaar Mein Muskuraaye Na Hote
Toh Palkon Mein Aansoo Chhupaaye Na Hote
Agar Pyaar Mein Muskuraaye Na Hote
Toh Palkon Mein Aansoo Chhupaaye Na Hote
Aansoo Chhupaaye Na Hote...

Tera Naam Le Kar Jawaani Na Roti
Meri Dhadkanon Ki Rawaani Na Roti
Tere Mastt Naghme Jo Gaaye Na Hote
Toh Palkon Mein Aansoo Chhupaaye Na Hote
Agar Pyaar Mein Muskuraaye Na Hote
Toh Palkon Mein Aansoo Chhupaaye Na Hote
Aansoo Chhupaaye Na Hote...

Hansi Na Udaata Koi, Dil Ki Lagi Ki
Na Barbaad Hoti Duniya Khushi Ki
Jo Ulfat Ke Ehsaan Uthaaye Na Hote
Toh Palkon Mein Aansoo Chhupaaye Na Hote
Agar Pyaar Mein Muskuraaye Na Hote
Toh Palkon Mein Aansoo Chhupaaye Na Hote!!

Film - Ek Jhalak 1957
MD - Hemant Kumar
Lyricist - Rajendra Krishan
Singer(s) - Geeta Dutt & Hemant Kumar

Hemant Kumar: Aaja Zara
Aaja Zara, Mere Dil Ke Sahaare Dilruba
Tere Liye Mere Dil Mein Teri Yaad Hai Jawaan
Aaja Zara
Aaja Zara, Mere Dil Ke Sahaare Dilruba
Tere Liye Mere Dil Mein Teri Yaad Hai Jawaan...

Geeta Dutt: Arrey Jaa Jaa Jaa, Dekh Li Hai Maine Sheikhi Teri
Na Sata, Jaa Jaa, Ab Na Chalengi Ab Na Chalengi Yahan Chaalein Teri
Geeta Dutt: Arrey Jaa Jaa Jaa, Dekh Li Hai Maine Sheikhi Teri
Na Sata, Jaa Jaa, Ab Na Chalengi Ab Na Chalengi Yahan Chaalein Teri
Hemant Kumar: O Hoo Hoo Hooo
Tu Ne Na Jaana, Main Hoon Deewana, Dil Mein Chhupi Hai Mohabbat Teri
Ch, Ch, Ch
Geeta Dutt: Kuchh Nahin Yahan
Hemant Kumar: Aaja Zara
Aaja Zara, Mere Dil Ke Sahaare Dilruba
Tere Liye Mere Dil Mein Teri Yaad Hai Jawaan....

Hemant Kumar: Ari Aa Aa Aa, Maan Le O Gori Kehna Mera
Na Jala, Aa Aa, Achchha Nahin Door Rehna Tera
Hemant Kumar: Ari Aa Aa Aa, Maan Le O Gori Kehna Mera
Na Jala, Aa Aa, Achchha Nahin Door Rehna Tera
Geeta Dutt: O Hoo Hoo Hooo
Pehle Akadna, Phir Paon Padna, Duniya Mein Mardon Ki Aadat Buri
Ch, Ch, Ch
Hemant Kumar: Jaayegi Kahan
Aaja Zara
Geeta Dutt: Na Na
Hemant Kumar: Aaja Zara
Geeta Dutt: Uh Huh
Hemant Kumar: Aaja Zara!!!

Film - Chandan 1958
MD - Madan Mohan
Lyricist - Rajendra Krishan
Singer(s) - Geeta Dutt

Aankh Milaane Ke Liye, Dil Hai Lagaane Ke Liye
Yeh Jahaan, Meharbaan, Mauj Manaane Ke Liye
Aankh Milaane Ke Liye, Dil Hai Lagaane Ke Liye
Yeh Jahaan, Meharbaan, Mauj Manaane Ke Liye
Aankh Milaane Ke Liye..

Chaandni Jab Talak Hai Jawaan Jhoom Le (2)
Daali Daali Ghoom Le, Munh Kaliyon Ka Choom Le
Dekh Bahaaron Ka Samaa Nahin Ab Aane Ke Liye
Yeh Jahaan, Meharbaan, Mauj Manaane Ke Liye
Aankh Milaane Ke Liye..

Zindagi Kya Khabar Aaj Hai Kal Na Ho (2)
Pyaar Ki Yeh Mehfil Na Ho, Dil Mein Yeh Halchal Na Ho
Koi Mile Ya Na Mile, Naaz Uthaane Ke Liye
Yeh Jahaan, Meharbaan, Mauj Manaane Ke Liye
Aankh Milaane Ke Liye..

Do Ghadi Pyaar Kar, Muskuraa, Gaaye Jaa (2)
Kaanton Ko Thukraaye Jaa, Phoolon Ko Apnaaye Jaa
Ek Bahaana Dhoondh Le, Rang Jamaane Ke Liye
Yeh Jahaan, Meharbaan, Mauj Manaane Ke Liye
Aankh Milaane Ke Liye, Dil Hai Lagaane Ke Liye
Yeh Jahaan, Meharbaan, Mauj Manaane Ke Liye
Aankh Milaane Ke Liye!

Film - Naag Mani 1957
MD - Avinash Vyas
Lyricist - Kavi Pradeep
Singer(s) - Geeta Dutt

Aaj Nahin Toh Kal, Bikharenge Yeh Baadal
O Raat Ke Bhoole Hue Musafir, Subah Hui Ghar Chal
Ab Ghar Chal Re....

Jod Le Phir Se Tooti Mamta, Baandh Le Prem Ki Dori
Zindgaani Se Door Bhaagna Hai Mann Ki Kamzori
Yeh Sab Dukh Ke Pal, Ek Din Jaayenge Tal
O Raat Ke Bhoole Hue Musafir, Subah Hui Ghar Chal
Ab Ghar Chal Re....

Dhadhak Raha Sansaar Hamaara, Dooba Bhagye Sitaara
Kise Pata Hai, Iske Bheetar Kya Hai Prabhu Ka Ishaara
Chinta Chhod Sakal, Har Mushkil Hogi Sehal
O Raat Ke Bhoole Hue Musafir, Subah Hui Ghar Chal
Ab Ghar Chal Re....

Jeevan Ek Sangraam Hai Jogi, Sankat Se Kya Darna
Bhav-Saagar Mein Bhanwar Bichhe Hain, Hans Hans Paar Utarna
Ab Toh Zara Sambhal, Tera Jaayega Bhagye Badal
O Raat Ke Bhoole Hue Musafir, Subah Hui Ghar Chal
Ab Ghar Chal Re....

Aaj Nahin Toh Kal, Bikharenge Yeh Baadal
O Raat Ke Bhoole Hue Musafir, Subah Hui Ghar Chal
Ab Ghar Chal Re!

Film - Jaan Pehchaan 1950
MD - Khem Chand Prakash & Manna Dey
Lyricist - Shakeel Badayuni
Singer(s) - Geeta Dutt

Aaoge Na Saajan, Aaoge Na (2), Kismat Ko Meri Jagaaoge Na (2)
Aaoge Na, Aaoge Na Saajan Aaaoge Na..

Tu Kya Gayi, Meri Duniya Gayi, Mar Mar Ke Jeene Ki Rut Aa Gayi (2)
Birhan Ko Dukh Se Chhudaaoge Na (2)
Aaoge Na, Aaoge Na Saajan Aaaoge Na..

Kismat Bhi Hai Humse Bigadi Hui, Jeevan Ki Nagri Hai Ujadi Hui (2)
Tum Isko Aake Basaaoge Na (2)
Aaoge Na, Aaoge Na Saajan Aaaoge Na..

Pehlu Mein Ik Dil Hai Toota Hua, Haathon Se Daaman Hai Chhoota Hua (2)
Nirdhan Ki Bigadi Banaaoge Na (2)
Aaoge Na, Aaoge Na Saajan Aaaoge Na
Aaoge Na Saajan, Aaoge Na (2), Kismat Ko Meri Jagaaoge Na (2)
Aaoge Na, Aaoge Na Saajan Aaaoge Na!

Film - Aasmaan Mahal 1965
MD - Jagphool Kaushik
Lyricist - Ali Sardar Jafri
Singer(s) - Geeta Dutt

Ae Raat Zara Aahista Guzar, Aahista Guzar, Aahista Guzar
Ae Raat Zara Aahista Guzar, Ae Raat Aahista Guzar
Aahista, Aahista, Aahista Guzar, Aahista, Aahista, Aahista Guzar
Ae Raat Zara Aahista Guzar....

Jumbish Nahin Baaki Haathon Mein, Aankhon Mein Magar Dum Baaki Hai (2)
Yeh Jaam Hai, Yeh Paimaana Hai (2), Yeh Meena Hai Yeh Saaqi Hai
Dil Pyaasa Hai (2) Pyaasi Hai Nazar, Dil Pyaasa Hai, Pyaasi Hai Nazar
Ae Raat Zara Aahista Guzar
Aahista, Aahista, Aahista Guzar, Aahista, Aahista, Aahista Guzar
Ae Raat Zara Aahista Guzar
Ae Raat Zara Aahista Guzar
Aahista, Aahista, Aahista Guzar, Aahista, Aahista, Aahista Guzar
Ae Raat Zara Aahista Guzar...

Sab Dhoob Chuka Hai Maikhaana, Aur Raat Abhi Bhi Yeh Bhi Nahin (2)
Khaali Hue Saare Jaam-o-Suboo (2), Jee Bhar Ke Abhi Toh Pi Bhi Nahin
Iss Dard Ko Le Kar Jaayein Kidhar, Iss Dard Ko Le Kar Jaayein Kidhar
Ae Raat Zara Aahista Guzar
Aahista, Aahista, Aahista Guzar, Aahista, Aahista, Aahista Guzar
Ae Raat Zara Aahista Guzar
Ae Raat Zara Aahista Guzar
Aahista, Aahista, Aahista Guzar, Aahista, Aahista, Aahista Guzar
Ae Raat Zara Aahista Guzar...

Kya Rang Rangeeli Duniya Hai, Ik Aur Gunaah Kar Lein Toh Chalein (2)
Bikhare Hue Laakhon Jalwe Hain (2), Daaman Ko Zara Bhar Lein Toh Chalein
Raahon Ki Na Manzil Ki Hai Khabar, Raahon Ki Na Manzil Ki Hai Khabar
Ae Raat Zara Aahista Guzar
Aahista, Aahista, Aahista Guzar, Aahista, Aahista, Aahista Guzar
Ae Raat Zara Aahista Guzar
Ae Raat Zara Aahista Guzar
Aahista, Aahista, Aahista Guzar, Aahista, Aahista, Aahista Guzar
Ae Raat Zara Aahista Guzar!

Film - Dil Ki Basti 1949
MD - Ghulam Mohammed
Lyricist - Shakeel Badayuni
Singer(s) - Geeta Dutt

Aankh Mein Aansoo, Dil Majboor, Haaye Mohabbat Ka Dastoor
Haaye Mohabbat Ka Dastoor
Aankh Mein Aansoo, Dil Majboor, Haaye Mohabbat Ka Dastoor
Haaye Mohabbat Ka Dastoor...

Dil Bhi Mile, Armaan Bhi Jaage, Bas Na Chala Taqdeer Ke Aage (2)
Gham Ne Dikhaaye Rang Woh Apne (2), Tod Diye Sab Pyaar Ke Sapne (2)
Kar Diya Dil Ko Chakna-Choor
Haaye Mohabbat Ka Dastoor
Haaye Mohabbat Ka Dastoor.....

Tum Toh Piya Pardes Sidhaare, Beet Rahi Hai Dil Pe Hamaare (2)
Kisko Khabar Thi, Mil Na Sakenge (2), Phool Khushi Ke Khil Na Sakenge
Tha Yehi Kismat Ko Manzoor
Haaye Mohabbat Ka Dastoor
Haaye Mohabbat Ka Dastoor
Aankh Mein Aansoo, Dil Majboor, Haaye Mohabbat Ka Dastoor
Haaye Mohabbat Ka Dastoor!

Film - Sachche Moti 1962
MD - N.Dutta
Lyricist - Sahir Ludhianvi
Singer(s) - Geeta Dutt

Arrey O Deewane, Khushi Ke Zamaane, Phir Nahin Aane, Re Maan Bhi Jaa
Arrey O Deewane, Khushi Ke Zamaane, Phir Nahin Aane, Re Maan Bhi Jaa..
Yeh Sharmaana, Yeh Ghabraana, Theek Nahin
Aahein Bharna, Jee Tarsaana Theek Nahin
Oye Hoye Hoye Hoye Hoooo
Yeh Sharmaana, Yeh Ghabraana, Theek Nahin
Aahein Bharna, Jee Tarsaana Theek Nahin
Jeene Ke Bahaane, Saara Jag Jaane, Tu Nahin Jaane Re, Jaan Bhi Jaa
Arrey O Deewane, Khushi Ke Zamaane, Phir Nahin Aane, Re Maan Bhi Jaa.

Badh Ke Dil Ka Daov Laga Le, Der Na Kar
Koi Suhaana Dhokha Kha Le, Der Na Kar
Hoo Hoo Hooooo Hoooo
Badh Ke Dil Ka Daov Laga Le, Der Na Kar
Koi Suhaana Dhokha Kha Le, Der Na Kar
Jeene Ke Bahaane, Saara Jag Jaane, Tu Nahin Jaane Re, Jaan Bhi Jaa
Arrey O Deewane, Khushi Ke Zamaane, Phir Nahin Aane, Re Maan Bhi Jaa
Arrey O Deewane, Khushi Ke Zamaane, Phir Nahin Aane, Re Maan Bhi Jaa!

Film - Hum Matwaale Naujawan 1961
MD - Chitragupta
Lyricist - Majrooh Sultanpuri
Singer(s) - Geeta Dutt & Mukesh

Geeta Dutt: Beete Nahin Raat Sanam, Karo Koi Baat sanam
Duniya Soye, Humein Neend Lage Na
Beete Nahin Raat Sanam, Karo Koi Baat sanam
Duniya Soye, Humein Neend Lage Na
Mukesh: Mile Bhi Toh Door Se Hum, Koi Dekhe Yeh Sitam
Main Toh Jaagun Meri Taqdeer Jaage Na...

Mukesh: Maano Sanam Kategi Yeh Raat Nahin, Jo Humhin Saath Nahin (2)
Geeta Dutt: Kya Hua Jo Tera Mera Saath Nahin, Yeh Koi Baat Nahin
Mukesh: Na Bano Ji Diye Jaate Hain Gawaahi Tere Naina
Geeta Dutt: Beete Nahin Raat Sanam, Karo Koi Baat sanam
Duniya Soye, Humein Neend Lage Na...

Geeta Dutt: Khidki Khuli Chanda Nazar Aa Hi Gaya, Mujhe Tadpa Hi Gaya (2)
Mukesh: Naam Tera Zubaan Par Lehra Hi Gaya, Lab Tak Aa Hi Gaya
Geeta Dutt: Jo Labon Pe Hain Woh Keh De Jo Hai Dil Mein Woh Na Kehna
Mukesh: Mile Bhi Toh Door Se Hum, Koi Dekhe Yeh Sitam
Main Toh Jaagun Meri Taqdeer Jaage Na...

Mukesh: Raat Dhali Chandniya Zard Bhi Hai, Yeh Hawa Sard Bhi Hai (2)
Geeta Dutt: Haan Re Piya, Hawa Zara Sard Bhi Hai, Dil Mein Kuchh Dard Bhi Hai
Mukesh: Na Kaha Tha Meri Jaan, Humse Kabhi Door Na Rehna
Geeta Dutt: Beete Nahin Raat Sanam, Karo Koi Baat sanam
Duniya Soye, Humein Neend Lage Na
Mukesh: Mile Bhi Toh Door Se Hum, Koi Dekhe Yeh Sitam
Main Toh Jaagun Meri Taqdeer Jaage Na!

Film - Dil Ki Rani 1947
MD - S.D.Burman
Lyricist - Y.N.Joshi
Singer(s) - Geeta Dutt

Bighadi Hui Taqdeer Meri Aake Bana De (2)
Bhagwan Tu Bhagwan (2) Hai Kuchh Karke Dikha De (3)
Bighadi Hui Taqdeer Meri Aake Bana De
Bhagwan Tu Bhagwan (2) Hai Kuchh Karke Dikha De (3)...

Maanga Nahin Tujhse Koi Duniya Ka Khazana (2)
Duniya Ka Khazana, Duniya Ka Khazana
Rote Hue Iss Dil Ko Mere Phir Hansa De (2)
Bhagwan Tu Bhagwan (2) Hai Kuchh Karke Dikha De (3)
Bighadi Hui Taqdeer Meri Aake Bana De
Bhagwan Tu Bhagwan (2) Hai Kuchh Karke Dikha De (3)...

Apne Hi Ban Gaye Hain Meri Raah Ke Kaante
Meri Raah Ke Kaante, Raah Ke Kaante
Apne Hi Ban Gaye Hain Meri Raah Ke Kaante
Meri Raah Ke Kaante, Raah Ke Kaante
Bedard Hain Jo Unko Tu Humdard Bana De (2)
Bhagwan Tu Bhagwan (2) Hai Kuchh Karke Dikha De (3)
Bighadi Hui Taqdeer Meri Aake Bana De
Bhagwan Tu Bhagwan (2) Hai Kuchh Karke Dikha De (3)...

Tu Pyaar Hai Aur Pyaar Tera Roop Hai Bhagwan, Roop Hai Bhagwan (2)
Hum Pyaar Jinhe Karte Hain, Bas Unse Mila De (2)
Bas Unse Mila De, Bas Unse Mila De
Bighadi Hui Taqdeer Meri Aake Bana De
Bighadi Hui Taqdeer Meri Aake Bana De
Bhagwan Tu Bhagwan (2) Hai Kuchh Karke Dikha De (2)!!!

Film - Heer 1956
MD - Anil Biswas
Lyricist - Majrooh Sultanpuri
Singer(s) - Geeta Dutt

Bulbul Mere Chaman Ke, Taqdeer Meri Ban Ke
Jaago Meri Tamanna, Jaago
Bulbul Mere Chaman Ke, Taqdeer Meri Ban Ke
Jaago Meri Tamanna, Jaago...

Dekho Meri Nazar Mein Hasrat Machal Rahi Hai
Parwaana So Raha Hai Aur Shamma Jal Rahi Hai
Dekho Meri Nazar Mein Hasrat Machal Rahi Hai
Parwaana So Raha Hai Aur Shamma Jal Rahi Hai
Kehti Hai Beqaraari, Yeh Raat Hai hamaari (2)
Jaago Meri Tamanna, Jaago, Jaago
Bulbul Mere Chaman Ke, Taqdeer Meri Ban Ke
Jaago Meri Tamanna, Jaago....

Neele Gagan Ke Chanda, Ruk Jaaye Chalte Chalte
Jaago Toh Thehar Jaaye Yeh Raat Dhalte Dhalte
Neele Gagan Pe Chanda, Ruk Jaaye Chalte Chalte
Jaago Toh Thehar Jaaye Yeh Raat Dhalte Dhalte
Aaye Na Phir Savera, Tum Saath Do Jo Mera (2)
Jaago Meri Tamanna, Jaago, Jaago
Bulbul Mere Chaman Ke, Taqdeer Meri Ban Ke
Jaago Meri Tamanna, Jaago!

Film - Kangan 1959
MD - Chitragupta
Lyricist - Rajendra Krishan
Singer(s) - Geeta Dutt

Bees Baras Tak Laakh Sambhaala, Chala Gaya Par Jaane Waala
Bees Baras Tak Laakh Sambhaala, Chala Gaya Par Jaane Waala
Na Tooti Koi Khidki Vidki, Na Toota Koi Taala
Dil Ho Gaya Chori Haaye, Dil Ho Gaya Chori Haaye
Dil Ho Gaya Chori Haaye, Dil Ho Gaya Chori
Bees Baras Tak Laakh Sambhaala, Chala Gaya Par Jaane Waala
Na Tooti Koi Khidki Vidki, Na Toota Koi Taala
Dil Ho Gaya Chori Haaye, Dil Ho Gaya Chori Haaye
Dil Ho Gaya Chori Haaye, Dil Ho Gaya Chori......

Honi Thi Jo Chori, Chor Se Mil Gaye Akhiyon Ke Dono Pehredaar (2)
Ghar Ke Bhedi Dhaa Gaye Lanka, Warna Hum Toh The Hoshiyaar
Kitne Naazon Se Dil Tha Paala, Chala Gaya Par Jaane Waala (2)
Na Tooti Koi Khidki Vidki, Na Toota Koi Taala
Dil Ho Gaya Chori Haaye, Dil Ho Gaya Chori Haaye
Dil Ho Gaya Chori Haaye, Dil Ho Gaya Chori....

Thaane Mein Rapat Di, Phir Bhi Kahin Se Mil Na Saki Zaalim Ki Khabar
Bhoole Se Yeh Bholi Le Gayi Ho Ji, Dil Lene Waalon Ki Nazar
Iss (?) Ka Diya Hawaala, Mil Na Saka Par Jaane Waala
Na Tooti Koi Khidki Vidki, Na Toota Koi Taala
Dil Ho Gaya Chori Haaye, Dil Ho Gaya Chori Haaye
Dil Ho Gaya Chori Haaye, Dil Ho Gaya Chori
Bees Baras Tak Laakh Sambhaala, Chala Gaya Par Jaane Waala
Na Tooti Koi Khidki Vidki, Na Toota Koi Taala
Dil Ho Gaya Chori Haaye, Dil Ho Gaya Chori Haaye
Dil Ho Gaya Chori Haaye, Dil Ho Gaya Chori!

Film - Farishta 1958
MD - O.P.Nayyar
Lyricist - Qamar Jalalabadi
Singer(s) - Geeta Dutt

Bach Bach Bach Kahun Sach Sach Sach
Koi Dil Na Uda Le, Chutki Baja Ke
Aise (chutki sound)
Bach Bach Bach Kahun Sach Sach Sach
Koi Dil Na Uda Le, Chutki Baja Ke<
Aise (chutki sound).....

Hey Paas Tumhaare Nahin Aaun
Hey Door Se Hi Tadpaaun
Chanchal Bijli Haath na Aaye Jaise (2)
ch Bach Bach Kahun Sach Sach Sach
Koi Dil Na Uda Le, Chutki Baja Ke
Aise (chutki sound)
Bach Bach Bach Kahun Sach Sach Sach
Koi Dil Na Uda Le, Chutki Baja Ke
Aise (chutki sound).....

Hey Dekh Ke Nakhra Mera
Hey Kaanpega Dil Tera
Udan Khatola Khaaye Hichkola Jaise (2)
Bach Bach Bach Kahun Sach Sach Sach
Koi Dil Na Uda Le, Chutki Baja Ke
Aise (chutki sound)
Bach Bach Bach Kahun Sach Sach Sach
Koi Dil Na Uda Le, Chutki Baja Ke
Aise (chutki sound)!

Film - Hamaari Manzil 1949
MD - Husnlal Bhagatram
Lyricist -
Singer(s) - Geeta Dutt

Baithi Hoon Main Nain Bichhaaye, Dil Mein Dil Ka Dard Chhupaaye
Pardesi Saajan Na Aaye, Pardesi Saajan Na Aaye
Baithi Hoon Main Nain Bichhaaye, Dil Mein Dil Ka Dard Chhupaaye
Pardesi Saajan Na Aaye, Pardesi Saajan Na Aaye...

Rut Basant Aayi Kheton Mein, Phool Khilein Sarson Ke
Milte Dekhe Inn Aankhon Ne Bichhade Hue Barson Ke
Mere Mann Ki Murjhaayi Kaliyon Ko Kaun Khilaaye
Pardesi Saajan Na Aaye, Pardesi Saajan Na Aaye...

Dhoom Machaati Holi Aayi, Neele Peele Rangon Waali
Kisi Ki Choli Laal Ho Gayi, Kisi Ki Saari Kaali
Pichkaari Bhar Khadi Rahi Main Piya Ki Aas Lgaaye
Pardesi Saajan Na Aaye, Pardesi Saajan Na Aaye...

Rimjhim Karta Saawan Aaya, Mastt Ghataayein Laaya
Sabne Jhoole, Prem Hindole Hans Hans Saawan Gaaya
Jhoola Daale Khadi Rahi Main, Piya Ki Aas Lagaaye
Pardesi Saajan Na Aaye, Pardesi Saajan Na Aaye
Pardesi Saajan Na Aaye, Pardesi Saajan Na Aaye...

Diwaali Ki Raat Chiraagon Ka Ik Mela Dekha
Uss Mele Mein Maine Apna Jiya Akela Dekha
Diya Jalaaye Khadi Rahi Main, Piya Ki Aas Lagaaye
Pardesi Saajan Na Aaye, Pardesi Saajan Na Aaye
Pardesi Saajan Na Aaye, Pardesi Saajan Na Aaye!

Film - Do Aadmi 1960
MD - S.N.Tripathi
Lyricist -
Singer(s) - Geeta Dutt

Aha La La La La La, Aha La La La La
Bheegi Bheegi, Mehki Mehki Raat Hai (2), Tera Mera, Mera Tera Saath Hai
Aaj Toh Meri Jaan, Keh Bhi De Jo Kehne Waali Baat Hai
Bheegi Bheegi, Mehki Mehki Raat Hai, Tera Mera, Mera Tera Saath Hai....

Aha Ha Aha Haa
Baar Baar Yeh Mulaaqatein Kahan (2), Roz Roz Toh Aisi Raatein Kahan
Sun Bhi Le Dhadkane, Mere Dil Mein Tere Dil Ki Baat Hai
Bheegi Bheegi, Mehki Mehki Raat Hai, Tera Mera, Mera Tera Saath Hai..

Aha Ha Aha Haaa
Jhoom Jhoom Ke Zara Aankhein Mila (2), Mil-Jul Ke Koi Gul Toh Khila
Baat Yeh Ban Gayi Toh Yeh Saari Duniya Apne Haath Hai
Bheegi Bheegi, Mehki Mehki Raat Hai, Tera Mera, Mera Tera Saath Hai
Aaj Toh Meri Jaan, Keh Bhi De Jo Kehne Waali Baat Hai
Bheegi Bheegi, Mehki Mehki Raat Hai, Tera Mera, Mera Tera Saath Hai!

Film - Razia Sultana 1961
MD - Lachhiram tamar
Lyricist - Kaifi Azmi
Singer(s) - Geeta Dutt & Chorus

Hoooooooo
Chali Jaati Chhabliya Matakti, Hoyeeee
Hoooooooooo
Ho Chali Jaati, Chali Jaati Chhabliya Matkati
Woh Toh Daaman Ko Apne Jhatakti
Chali Jaati Chhabliya Matakti.....

Bhes Badal Ke Gori, Nikli Nakhre Kare Hazaar (2)
Ghaat Mein Baitha, Arrey Ghaat Mein Mastt Shikaari Kar Gaya Dil Pe Waar
Nazar Ka Teer Khaaye, Hoye, Hui Piya Chupaaye, Kahin Tan Mann Ganwaaye
Phire Ban Ban Hiraniya Hiraniya Bhatakti, Chali Jaati
Ho Chali Jaati, Chali Jaati Chhabliya Matkati
Woh Toh Daaman Ko Apne Jhatakti...

Chupke Chupke Chanchal Armaan Dil Mein Le Angdaayi (2)
Dheeme Dheeme, Arrey Dheeme Dheeme Mann Mein Jaise Bajti Ho Shehnaayi
Lagun Hans Ke Milne, Hoye, Hawa Baalon Se Khele, Hawa Baahon Mein Le Le
Kaho Kyon Na Jawaani Machalti Atakti, Chali Jaati
Ho Chali Jaati, Chali Jaati Chhabliya Matkati
Woh Toh Daaman Ko Apne Jhatakti!

Film - Ustaad 1957
MD - O.P.Nayyar
Lyricist - Jaan Nisaar Akhtar
Singer(s) - Geeta Dutt

Chor Lootere Daaku (2), Phire Hain Aawara
Kahin Loota, Kahin Maara, Nahin Jeene Ka Sahaara Dekhoji
Chor Lootere Daaku, Phire Hain Aawara
Kahin Loota, Kahin Maara, Nahin Jeene Ka Sahaara Dekhoji
Chor Lootere Daaku....

Bachna Re Babu, Chale Inpe Na Jaadu, Kare Sabko Yeh Qaabu Dekhoji (2)
Hai Na Thikana, Loote Maal Khazaana, Dhokha Na Khaana, Arrey Bura Hai Zamaana Dekhoji
Chor Lootere Daaku, Phire Hain Aawara
Kahin Loota, Kahin Maara, Nahin Jeene Ka Sahaara Dekhoji
Chor Lootere Daaku....

Phirti Yeh Toli, Koi Samjhe Na Bholi, Yeh Toh Maar De Goli Dekhoji (2)
Koi Nahin Tera Yahan Koi Nahin Mera, Chhaya Hai Andhera, Yeh Toh Hai Choron Ka Dhera Dekhoji
Chor Lootere Daaku, Phire Hain Aawara
Kahin Loota, Kahin Maara, Nahin Jeene Ka Sahaara Dekhoji
Chor Lootere Daaku
Chor Lootere Daaku, Phire Hain Aawara
Kahin Loota, Kahin Maara, Nahin Jeene Ka Sahaara Dekhoji
Chor Lootere Daaku!!

Film - Zimbo Comes to Town (Zimbo Shehar Mein) 1960
MD - Chitragupta
Assistant - Dilip
Lyricist - Prem Dhawan
Singer(s) - Geeta Dutt

Dil Hai Tera Deewana, Tu Ne Kabhi Na Jaana
Aise Sata Na Zaalim, Aakhir Hamaara Bhi Toh Dil Hai
Dil Hai Tera Deewana, Tu Ne Kabhi Na Jaana
Aise Sata Na Zaalim, Aakhir Hamaara Bhi Toh Dil Hai....

Pyaar Pe Kisi Ka Zor Toh Nahin, Tu Hi Tu Hai Dil Mein Aur Toh Nahin (2)
Dekh Le Arrey O Bewafa, Kabhi Toh Bhool Ke Humein Bhi Pyaar Se
Dil Hai Tera Deewana, Tu Ne Kabhi Na Jaana
Aise Sata Na Zaalim, Aakhir Hamaara Bhi Toh Dil Hai...

Berukhi Yeh Kaisi Mere Paas Aa, Diljalon Ke Dil Ko Aur Na Jala (2)
Kya Karein Ke Hum Toh Lut Gaye, Teri Hi Raah Mein Haaye Teri Hi Chaah Mein
Dil Hai Tera Deewana, Tu Ne Kabhi Na Jaana
Aise Sata Na Zaalim, Aakhir Hamaara Bhi Toh Dil Hai
Dil Hai Tera Deewana, Tu Ne Kabhi Na Jaana
Aise Sata Na Zaalim, Aakhir Hamaara Bhi Toh Dil Hai!

Film - Zimbo Comes to Town (Zimbo Shehar Mein) 1960
MD - Chitragupta
Lyricist - Prem Dhawan
Singer(s) - Geeta Dutt & Mohd.Rafi

Mohd.Rafi: Dekh Mera Dil Na Jala, Maan Jaa Meri Laila
Geeta Dutt: Pehle Zara Naak Ragad Sar Pe Mere Chhaila
Mohd.Rafi: Ari Wah Wah Meri Laila
Geeta Dutt: Jaa Dil Hai Tera Maila
Geeta Dutt: Main Na Bolun Baalam (2), Hai Pyaar Tera Farzi (2)
Mohd.Rafi: Bolo Ya Na Bolo Yeh Aapki Hai Marzi (2)

Geeta Dutt: Pyaar Jo Kiya Hai Toh Naaz Bhi Uthaavo
Raat Kahun Din Ko Toh Haan Mein Haan Milaavo
Mohd.Rafi: Huh Ha Ha Wah Wah
Geeta Dutt: Pyaar Jo Kiya Hai Toh Naaz Bhi Uthaavo
Raat Kahun Din Ko Toh Haan Mein Haan Milaavo
Mohd.Rafi: Haanji Haanji Bolunga, Jo Bhi Farmaao
Par Yoon Na Thukraao
Ari Yoon Na Thukraao Yeh Pyaar Bhari Arzi
Geeta Dutt: Main Na Bolun Baalam, Hai Pyaar Tera Farzi
Mohd.Rafi: Jaao, Bolo Ya Na Bolo Yeh Aapki Hai Marzi...

Mohd.Rafi: Daal Gale Mere Tu Pyaar Bhari Dori
Phir Toh Main Naachunga, Tu Jaise Kahe Chhori
Daal Gale Mere Tu Pyaar Bhari Dori
Phir Toh Main Naachunga, Tu Jaise Kahe Chhori
Geeta Dutt: Haaye Kaise Bandar Se Aankh Ladi Mori
Yeh Meethi Meethi Baatein
Mohd.Rafi: Aha Aha Ha Ha
Geeta Dutt: Yeh Meethi Meethi Baatein, Hai Teri Khudgarzi
Main Na Bolun Baalam, Hai Pyaar Tera Farzi
Mohd.Rafi: Aji Bolo Ya Na Bolo Yeh Aapki Hai Marzi....

Mohd.Rafi: Jhootha Hoon Ya Sachcha, Yeh Soch Zara Gaur Se
Faisla Kara Le Nahin Toh Kisi Aur Se
Jhootha Hoon Ya Sachcha, Yeh Soch Zara Gaur Se
Faisla Kara Le Nahin Toh Kisi Aur Se
Geeta Dutt: Jaanu Main Yeh Paazi Mila Hua Hai Chor Se
Jaa Chor Mere Dil Ke
Jaa Chor Mere Dil Ke, Na Maanun Teri Arzi
Main Na Bolun Baalam, Hai Pyaar Tera Farzi
Mohd.Rafi: Aji Bolo Ya Na Bolo Yeh Aapki Hai Marzi!

Film - Heer 1956
MD - Anil Biswas
Lyricist - Majrooh Sultanpuri
Singer(s) - Geeta Dutt

Dhadkane Laga Dil Nazar Jhuk Gayi,
Kabhi Unse Jab Saamna Ho Gaya
Dhadkane Laga Dil Nazar Jhuk Gayi...


Mera Muskuraana Bura Ho Gaya (2)
Dhadkane Laga Dil Nazar Jhuk Gayi,
Kabhi Unse Jab Saamna Ho Gaya
Dhadkane Laga Dil Nazar Jhuk Gayi...

Tassawur Dikhaata Hai, Tasveer Unki (2)
Mohabbat Mein Dil Aaina Ho Gaya (2)
Dhadkane Laga Dil Nazar Jhuk Gayi,
Kabhi Unse Jab Saamna Ho Gaya
Dhadkane Laga Dil Nazar Jhuk Gayi...

Mere Ghar Pe Ehsan Hai Aashiqi Ka (2)
Mera Rang Hi Doosra Ho Gaya (2)
Dhadkane Laga Dil Nazar Jhuk Gayi,
Kabhi Unse Jab Saamna Ho Gaya
Dhadkane Laga Dil Nazar Jhuk Gayi!

<

Film - Kavi Kalidas 1959
MD - S.N.Tripathi
Lyricist - Bharat Vyas
Singer(s) - Geeta Dutt

Door Desh Se Koi Sapera Aaya (2), Geet Kya Gaaya, Liya Mann Chheen Re,
Meethi Meethi Jaadu Ki Bajaaye Koi Been Re
Meethi Meethi Jaadu Ki Bajaaye Koi Been Re...

Saanwariya Tere Rang Mein Rang Ke (2), Ho Gayi Main Toh Saanwri
Peechhe Peechhe, Peechhe Peechhe Dolungi Ban Ke Bairagan Baanwri
Tadapungi Main Din Raat,
Tadapungi Din Raat Jo Chhoda Saath Ke Jal Bin Meen Re
Meethi Meethi Jaadu Ki Bajaaye Koi Been Re
Meethi Meethi Jaadu Ki Bajaaye Koi Been Re...

Kaisa Chheda Geet Re Tu Ne (2), Main Apnapan Bhool Rahi
Kabhi Hai Dharti, Kabhi Hai Dhati Kabhi Gagan Hai Aisa Jhool Rahi
Taj Ke Jagat Ki Laaj
Taj Ke Jagat Ki Laaj, Hui Main Aaj Tere Aadheen Re
Meethi Meethi Jaadu Ki Bajaaye Koi Been Re
Meethi Meethi Jaadu Ki Bajaaye Koi Been Re
Door Desh Se Koi Sapera Aaya, Geet Kya Gaaya, Liya Mann Chheen Re,
Meethi Meethi Jaadu Ki Bajaaye Koi Been Re
Meethi Meethi Jaadu Ki Bajaaye Koi Been Re
Meethi Meethi Jaadu Ki Bajaaye Koi Been Re!

Film - Mr. India 1961
MD - G.S.Kohli
Lyricist - Jaan Nisaar Akhtar
Singer(s) - Geeta Dutt

Dekha Na Jaaye, Socha Na Jaaye, Woh Dekho Kitna Balam Beimaan Re (2)
Dekha Na Jaaye, Socha Na Jaayee Aha Ha Haaa..

Khel Nahin Mere Pyaar Ko Thukra Dena, Aaj Hai Mushkil Dil Ko Samjha Lena
Dil Hai Deewana Re, Ho Dil Hai Deewana Re, Kya Tu Ne Jaana Re
Dekha Na Jaaye, Socha Na Jaaye, Woh Dekho Kitna Balam Beimaan Re
Dekha Na Jaaye, Socha Na Jaayee Aha Ha Haaa..

Dekh Na Dil Kahe Pyaar Ka Badla Le Le, Aag Hoon Main Toh Aag Se Kyon Tu Khele
Dhokha Na Khaana Re, Ho Dhokha Na Khaana Re, Kya Tu Ne Jaana Re
Dekha Na Jaaye, Socha Na Jaaye, Woh Dekho Kitna Balam Beimaan Re
Dekha Na Jaaye, Socha Na Jaayee Aha Ha Haaa..

Mujhpe Chala Arrey Teer Na Mera Hoke, Dekh Ruke Na Waar Na Mera Roke (2)
Teekha Nishaana Re, Ho Teekha Nishaana Re, Kya Tu Ne Jaana Re
Dekha Na Jaaye, Socha Na Jaaye, Dekha Na Jaaye, Socha Na Jaaye
Dekha Na Jaaye, Socha Na Jaaye, Dekha Na Jaaye, Socha Na Jaaye
Dekha Na Jaaye, Socha Na Jaaye, Dekha Na Jaaye, Socha Na Jaaye!

Film - Musafir Khaana 1955
MD - O.P.Nayyar
Lyricist - Majrooh Sultanpuri
Singer(s) - Geeta Dutt

Dil De Daala, De Daala Nazraana (2)
Saiyaan Ab Hoga Kya, Jaane Meri Bala
Dil De Daala....

Kuchh Bhi Kahe Ji Koi Humne Toh Pyaar Kiya
Pehli Nazar Mein Main Toh Teri Hui Re Piya
Kaliyon Ne Khil Ke, Aankhon Ne Mil Ke
Chupke Se Yoon Kaha - Kya?
Dil De Daala, De Daala Nazraana (2)
Saiyaan Ab Hoga Kya, Jaane Meri Bala
Dil De Daala....

Hans Ke Bahaar Kahe Jaadu Jaga Le Gori
Tere Liye Hai Koi Apna Bana Le Gori
Maine Bhi Ruk Ke Pyaar Se Jhuk Se
Chupke Se Yoon Kaha - Kya?
Dil De Daala, De Daala Nazraana (2)
Saiyaan Ab Hoga Kya, Jaane Meri Bala
Dil De Daala....

Tumse Mili Toh Saiyaan Apne Ko Bhool Gayi
Door Bhi Reh Ke Teri Baahon Mein Jhool Gayi
Chhaye Khumaar Mein, Fasl-e-Bahaar Mein
Chupke Se Yoon Kaha - Kya?
Dil De Daala, De Daala Nazraana (2)
Saiyaan Ab Hoga Kya, Jaane Meri Bala
Dil De Daala!

Film - Heer Ranjha 1948
MD - Khaiyyam/Aziz Khan/Vermaji
Lyricist - Wali Saheb
Singer(s) - Geeta Dutt & G.M.Durrani

Dil Yoon Yoon, Dil Yoon Karta Hai, Haaye Ke Dil Yoon Karta Hai
Aji Ke Dil Yoon Karta Hai
Armaan Hai Milne Ke, Armaan Hai Milne Ke Aur Milne Se Darta Hai
Aur Milne Se Darta Hai
Dil Yoon Yoon, Dil Yoon Karta Hai, Haaye Ke Dil Yoon Karta Hai..

Dil Yoon Yoon, Dil Yoon Karta Hai, Haaye Ke Dil Yoon Karta Hai
Baalam Ke Sanwarne Se (2), Yeh Aur Bighadta Hai (2)
Dil Yoon Yoon, Dil Yoon Karta Hai, Aji Ke Dil Yoon Karta Hai...

Dil Yoon Yoon, Dil Yoon Karta Hai, Haaye Ke Dil Yoon Karta Hai
Mar Mar Ke Jeeta Hai (2), Jee Jee Ke Yeh Marta Hai (2)
Dil Yoon Yoon, Dil Yoon Karta Hai, Haaye Ke Dil Yoon Karta Hai...

Dil Yoon Yoon, Dil Yoon Karta Hai, Dil Yoon Karta Hai
Saathi Meri Khushiyon Ka (2), Lo Aaj Bichhadta Hai (2)
Dil Yoon Yoon, Dil Yoon Karta Hai, Aji Ke Dil Yoon Karta Hai..

Dil Yoon Yoon, Dil Yoon Karta Hai, Haaye Ke Dil Yoon Karta Hai
Yeh Dard Anootha Hai (2), Kam(?) Se Bharta Hai (2)
Dil Yoon Yoon, Dil Yoon Karta Hai, Haaye Ke Dil Yoon Karta Hai
Aji Ke Dil Yoon Karta Hai
Armaan Hai Milne Ke, Armaan Hai Milne Ke Aur Milne Se Darta Hai
Aur Milne Se Darta Hai
Dil Yoon Yoon, Dil Yoon Karta Hai, Aji Ke Dil Yoon Karta Hai!!

Film - Jaan Pehchaan 1950
MD - Khem Chand Prakash & Manna Dey
Lyricist - Shakeel Badayuni
Singer(s) - Geeta Dutt

Bhoolne Waale Tujhe Apni Jafaaon Ki Kasam
Dekh Le Aake Zara, Hum Pe Jo Guzarte Hain Gham

Dil Mein Ik Hasrat-e-Barbaad Liye Baithe Hain (2)
Tu Nahin Hai Toh Teri Yaad Liye Baithe Hain (2)
Dil Mein Ik Hasrat-e-Barbaad Liye Baithe Hain..

Aa Keh Tujh Bin Meri Duniya Mein Ujaala Hi Nahin (2)
Gham Ke Maaron Ka Koi Poochhne Waala Hi Nahin (2)
Haaye Kab Se Dil-e-Nashaad Liye Baithe Hain
Dil Mein Ik Hasrat-e-Barbaad Liye Baithe Hain...

Hum Bhi Majboor Hue (2), Pyaar Bhi Badnaam Hua (2)
Chaar Din Hans Ke Bitaane Ka Yeh Anjaam Hua (2)
Dil Mein Gham, Honthon Pe Fariyaad Liye Baithe Hain
Tu Nahin Hai Toh Teri Yaad Liye Baithe Hain
Dil Mein Ik Hasrat-e-Barbaad Liye Baithe Hain!

Film - Jaan Pehchaan 1950
MD - Khem Chand Prakash & Manna Dey
Lyricist - Shakeel Badayuni
Singer(s) - Geeta Dutt

Hoooooo
Duniya Mohabbat Karne Na Degi, Hoooooo, Duniya Mohabbat Karne Na Degi
Pyaar Se Daaman Bharne Na Degi, Haaye, Pyaar Se Daaman Bharne Na Degi
Haaye Duniya Mohabbat Karne Na Degi
Hoooooo Duniya Mohabbat Karne Na Degi...

Ulte Ho Gaye Sapne Khushi Ke, Pad Gaye Dil Ke Rang Hi Pheeke (2)
Pyaar Ka Daaman Humne Chhua Tha (2), Haaye Magar Yeh Kisko Pata Tha
Haath Bhi Daaman Dharne Na Degi (2), Haaye, Haath Bhi Daaman Dharne Na Degi
Haaye Duniya Mohabbat Karne Na Degi
Hoooooo Duniya Mohabbat Karne Na Degi...

Duniya ke Andaaz Niraale, Dekh Rahe Hain Dekhne Waale (2)
Aag Laga Kar Phoonk Diya Mann (2), Jab Mil Baithi Ban Gayi Dushman
Naam-e-Wafa Par Marne Na Degi, Haaye, Naam-e-Wafa Par Marne Na Degi
Haaye Duniya Mohabbat Karne Na Degi
Hoooooo Duniya Mohabbat Karne Na Degi
Haaye Duniya Mohabbat Karne Na Degi
Hoooooo Duniya Mohabbat Karne Na Degi!

Film - Pocketmaar 1958
MD - Madan Mohan
Lyricist _ Rajendra Krishan
Singer(s) - Geeta Dutt

Duniya Ke Saath Chal Pyaare, Aise Na Haath Mal Pyaare
Do Din Bahaar, Hans Kar Guzaar, Hai Yeh Reet Aaj Kal Pyaare
Duniya Ke Saath Chal Pyaare, Aise Na Haath Mal Pyaare....

Ram Ram Tarampam
Jab Tak Jawaan Yeh Dil Hai, Duniya Haseen Mehfil Hai
Mastti Mein Doob Kar Jee Le, Har Saans Teri Manzil Hai
Jab Tak Jawaan Yeh Dil Hai, Duniya Haseen Mehfil Hai
Mastti Mein Doob Kar Jee Le, Har Saans Teri Manzil Hai
Kya Aitbaar, Phir Yeh Bahaar, Aaye Na Aaye Kal Pyaare
Duniya Ke Saath Chal Pyaare, Aise Na Haath Mal Pyaare....

Ram Ram Tarampam
Thodi Hai Chaandni Raatein, Mat Soch Hosh Ki Baatein
Khushiyon Ke Dhoop Ke Peechhe, Gham Ki Lagi Hain Barsaatein
Thodi Hai Chaandni Raatein, Mat Soch Hosh Ki Baatein
Khushiyon Ke Dhoop Ke Peechhe, Gham Ki Lagi Hain Barsaatein
Saare Usool, Bilqul Fizool, Tu Ganwa Na Ek Pal Pyaare
Duniya Ke Saath Chal Pyaare, Aise Na Haath Mal Pyaare
Do Din Bahaar, Hans Kar Guzaar, Hai Yeh Reet Aaj Kal Pyaare
Duniya Ke Saath Chal Pyaare, Aise Na Haath Mal Pyaare
Aaaaaaaaa!

Film - Aasmaan 1952
MD - O.P.Nayyar
Lyricist - Prem Dhawan
Singer(s) - Geeta Dutt

Dekho Jaadu Bhare More Nain (2)
Arrey Jaadu Bhare, Arrey Jaadu Bhare (2)
Dekho Jaadu Bhare More Nain
Itraayein Kabhi, Sharmaayein Kabhi (2)
Muskaayein Kabhi, Tan Jaayein Kabhi (2)
Tadpaate Rahein Din Rain
More Nain, More Nain, More Nain
Dekho Jaadu Bhare
Dekho Jaadu Bhare More Nain
Dekho Jaadu Bhare More Nain....

Deewana Karein, Mastaana Karein (2)
Jise Ek Baar Dekhein, Nishaana Karein (2)
Kisi Ko Na Lene De Chain
More Nain, More Nain, More Nain
Dekho Jaadu Bhare
Dekho Jaadu Bhare More Nain
Dekho Jaadu Bhare More Nain
Arrey Jaadu Bhare, Arrey Jaadu Bhare (2)
Dekho Jaadu Bhare More Nain!

Film - Bandi 1957
MD - Hemant Kumar
Lyricist - Rajendra Krishan
Singer(s) - Geeta Dutt

Gora Badan Mora, Umariya Baali, Main Toh Gende Ki Daali
Moh Pe Tirchhi Nazariya Na Daalo More Baalma
Gora Badan Mora, Umariya Baali, Main Toh Gende Ki Daali
Moh Pe Tirchhi Nazariya Na Daalo More Baalma
Gora Badan Mora....

Naaz Na Jaanun, Main Toh Galiyon Ki Rani
Mujhse Na Kahiyo Raja Preet Kahaani
Raja Preet Kahaani
Naaz Na Jaanun, Main Toh Galiyon Ki Rani
Mujhse Na Kahiyo Raja Preet Kahaani
Raja Preet Kahaani
Mujhse Na Kahiyo Raja Preet Kahaani
Bhola Sa Mann Mora, Umariya Baali, Main Toh Gende Ki Daali
Moh Pe Tirchhi Nazariya Na Daalo More Baalma
Gora Badan Mora, Umariya Baali, Main Toh Gende Ki Daali
Moh Pe Tirchhi Nazariya Na Daalo More Baalma
Gora Badan Mora....

Sej Sunehri Na Main Maangun Ji Kaliyaan
Mujhko Dikha Na Chhaila Sone Ki Daliyaan
Na Sone Ki Daliyaan
Sej Sunehri Na Main Maangun Ji Kaliyaan
Mujhko Dikha Na Chhaila Sone Ki Daliyaan
Na Sone Ki Daliyaan
Mujhko Dikha Na Chhaila Sone Ki Daliyaan
Roop Hai Dhan Mora, Umariya Baali, Main Toh Gende Ki Daali
Gora Badan Mora, Umariya Baali, Main Toh Gende Ki Daali
Moh Pe Tirchhi Nazariya Na Daalo More Baalma
Gora Badan Mora, Umariya Baali, Main Toh Gende Ki Daali
Moh Pe Tirchhi Nazariya Na Daalo More Baalma
Gora Badan Mora!

Film - Do Roti 1957
MD - Roshan
Lyricist - Khumar Barabankvi
Singer(s) - Geeta Dutt & Mohd.Rafi

Geeta Dutt: Ghir Ke Barse Yeh Ghataayein Toh Maza Aa Jaaye
Mohd.Rafi: Ab Ghar Jaane Na Paaye Toh Maza, Toh Maza Aa Jaaye
Both: Hooo Hooo Hmmm Hmmm Hooo Hooo
Ghir Ke Barse Yeh Ghataayein....

Both: Pyaara Pyaara Hai Samaa, Aarzuyein Hain Jawaan (2)
Dil Sambhalta Hi Nahin, Rooth Jaana Na Kahin (2)
Hoo Hooo Hmmm Hmmm Hooo Hoooo
Geeta Dutt: Roothe Hum Aap Manaayein, Toh Maza Aa Jaaye
Mohd.Rafi: Ab Ghar Jaane Na Paaye Toh Maza, Toh Maza Aa Jaaye
Geeta Dutt: Ghir Ke Barse Yeh Ghataayein....

Both: Yoon Na Tadpaaiye Ji, Hosh Mein Aaiye Ji (2)
Chhayi Hai Udhi Ghata, Achchha Ji Phir Humein Kya (2)
Hooo Hoo Hoo Hmmm Hmm Hooo Hooo
Mohd.Rafi: Aap Aankhon Se Pilaayein Toh Maza Aa Jaaye
Geeta Dutt: Ab Ghar Jaane Na Paaye Toh Maza, Toh Maza Aa Jaaye
Both: Ghir Ke Barse Yeh Ghataayein....

Both: Haath Mein Haath Rahe, Aapka Saath Rahe (2)
Hum Kahin Door Chalein, Dekhne Waale Jalein (2)
Hooo Hoo Hoo Hmmm Hmm Hooo Hooo
Both: Jalne Waalon Ko Jalaayein Toh Maza Aa Jaaye
Ab Ghar Jaane Na Paaye Toh Maza, Toh Maza Aa Jaaye
Hooo Hooo Hmmm Hmmm Hooo Hooo
Ghir Ke Barse Yeh Ghataayein!

Film - Sailaab 1956
MD - Mukul Roy
Lyricist - Majrooh Sultanpuri
Singer(s) - Geeta Dutt

Hai Yeh Duniya Kaun Si, Ae Dil Mujhe Kya Ho Gaya (2)
Jaise Manzil Par Koi Aake Musafir Kho Gaya
Hai Yeh Duniya Kaun Si, Ae Dil Mujhe Kya Ho Gaya..

Main Hoon Ek Panchhi Akela, Iss Gagan Ki Chhaon Mein (2)
Udte Udte Aa Gaya Hoon Baadalon Ke Gaon Mein
Apne Hi Sapnon Ki Dhun Mein Chalte Chalte Kho Gaya
Hai Yeh Duniya Kaun Si, Ae Dil Mujhe Kya Ho Gaya..

Sun Bhi Lo Gham Ki Sadaayein, Dard Ka Paighaam Lo (2)
Dagmagaate Jaa Rahe Hain, Aake Humko Thaam Lov Phir Na Kehna Zindagi Ka Aasra Gum Ho Gaya
Hai Yeh Duniya Kaun Si, Ae Dil Mujhe Kya Ho Gaya
Jaise Manzil Par Koi Aake Musafir Kho Gaya
Hai Yeh Duniya Kaun Si, Ae Dil Mujhe Kya Ho Gaya!

Film - Guest House 1959
MD - Chitragupta
Lyricist - Prem Dhawan
Singer(s) - Geeta Dutt

Humne Seekha Pyaar Mein
Do Nainon Ki Maar Mein
Milne Mein Woh Maza Kahan Hai
Jo Hai Intezaar Mein
Humne Seekha Pyaar Mein
Do Nainon Ki Maar Mein
Milne Mein Woh Maza Kahan Hai
Jo Hai Intezaar Mein....

Dil Toh Yeh Kehta Hai Ke Aane Waala Aayega (2) Aankhein Yeh Kehti Hain, Ae Dil Tu Dhokha Khaayega
Aisa Hi Chalta Hai, Aisa Hi Chalta Hai, Dono Ki Taqraar Mein
Humne Seekha Pyaar Mein
Do Nainon Ki Maar Mein
Milne Mein Woh Maza Kahan Hai
Jo Hai Intezaar Mein....

Rasta Takne Waale, Tu Kyon Baitha Majboor Hai (2)
Bhool Jaana Waada, Yeh Duniya Ka Dastoor Hai
Laakhon Hi Khoye Hain, Laakhon Hi Khoye Hain Jhoothe Aitbaar Mein
Humne Seekha Pyaar Mein
Do Nainon Ki Maar Mein
Milne Mein Woh Maza Kahan Hai
Jo Hai Intezaar Mein....

Yehi Beqaraari Toh Dil Ka Qaraar Hai (2)
Dekhi Na Khizaan Ho Toh Pheeki Yeh Bahaar Hai
Halchal Si Rehne De, Halchal Si Rehne De Dil-e-Beqaraar Mein
Humne Seekha Pyaar Mein
Do Nainon Ki Maar Mein
Milne Mein Woh Maza Kahan Hai
Jo Hai Intezaar Mein!!

Film - Passport 1961
MD - Kalyanji Anandji
Singer(s) - Geeta Dutt

Jaa Raha Hai Kyon Deewane, Berukhi Kya Hai
Kya Suna Doon, Kya Bata Doon Zindagi Kya Hai
Jaa Raha Hai Kyon Deewane, Berukhi Kya Hai
Kya Suna Doon, Kya Bata Doon Zindagi Kya Hai....

Yeh Mehfil Haseen Jalwe, Ek Nazar Toh Dekh Re
Bade Dekhein Haseen Tumne, Main Laakhon Mein Ek
Hoooooo
Yeh Mehfil Haseen Jalwe, Ek Nazar Toh Dekh Re
Bade Dekhein Haseen Tumne, Main Laakhon Mein Ek
Hoooooo
Jaa Raha Hai Kyon Deewane, Berukhi Kya Hai
Kya Suna Doon, Kya Bata Doon Zindagi Kya Hai....

Ruk Jaao, Hai Kya Jaldi, Chhodo Bhi Yeh Naaz
Theharo Ji Sunaati Hoon, Ulfat Ki Rudaad
Hooooo
Ruk Jaao, Hai Kya Jaldi, Chhodo Bhi Yeh Naaz
Theharo Ji Sunaati Hoon, Ulfat Ki Rudaad
Hoooooo
Jaa Raha Hai Kyon Deewane, Berukhi Kya Hai
Kya Suna Doon, Kya Bata Doon Zindagi Kya Hai!

Film - Dil Ki Basti 1949
MD - Ghulam Mohammed
Singer(s) - Geeta Dutt

Jal Jal Ke, Jal Jal Ke Kahein Hum Jee Se, Kyon Pyaar Kiya Tha Kisi Se (2)
Jal Jal Ke...

Dil De Ke Tumhein Hum Haar Gaye, Ab Apne Jatan Se Haar Gaye
Ummeed Ka Daaman Chaak Hua, Ik Aag Lagi Dil Khaak Hua
Majboor Hai Dil Ki Lagi Se, Jalta Hai Kaun Khushi Se
Jal Jal Ke, Jal Jal Ke Kahein Hum Jee Se, Kyon Pyaar Kiya Tha Kisi Se
Jal Jal Ke...

Taqdeer Mein Jo Tha Hoke Raha, Kya Socha Tha Kya Hoke Raha
Iss Ranj Se Aahein Kyon Na Bhare, Iss Gham Ki Shikaayat Kyon Na Kare
Dil Jisko Diya Marzi Se, Dukh Paaya Aaj Ussi Se
Jal Jal Ke, Jal Jal Ke Kahein Hum Jee Se, Kyon Pyaar Kiya Tha Kisi Se
Jal Jal Ke!

Film - Aab-e-Hyaat 1955
MD - Sardar Malik
Lyricist - Hasrat Jaipuri
Singer(s) - Geeta Dutt & Chorus<

Jhuk Jhuk Jaaye, Nazar Sharmaaye, Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye
Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye Unse,
Jhuk Jhuk Jaaye, Nazar Sharmaaye,
Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye, Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye Unse
Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye.....

Jisne Saja Di Pyaar Ki Duniya, Ulfat Ke Ikraar Ki Duniya (2)
Kyon Na Un Par Jaan Luta Doon, Aaj Mili Hai Bahaar Ki Duniya
Hosh Kahan Hai, Chaand Yahan Hai,
Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye, Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye Unse
Jhuk Jhuk Jaaye, Nazar Sharmaaye, Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye
Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye Unse (chorus)
Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye.......

Main Toh Kahun Woh Jaadugar Hai, Dil Yeh Kahe Ulfat Ka Asar Hai (2)
Kiski Maanun Re Baatein, Kiski Maanun Re Tauba
Kehna Bhi Mushkil, Rehna Bhi Mushkil,
Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye, Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye Unse
Jhuk Jhuk Jaaye, Nazar Sharmaaye, Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye
Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye Unse (chorus)
Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye.......

Jab Woh Hamaare Saamne Aayein, Nazarein Daaman Choom Na Jaayein (2)
Dil Ki Baatein, Dil Mein Hi Jhoome, Honthon Ki Kaliyaan Tharraaye
Main Sharmaaun, Chhup Chhup Jaaun
Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye, Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye Unse
Jhuk Jhuk Jaaye, Nazar Sharmaaye, Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye
Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye Unse (chorus)
Kuchh Bhi Kaha Na Jaaye!

Film - Ek Jhalak 1957
MD - Hemant Kumar
Lyricist - Rajendra Krishan
Singer(s) - Geeta Dutt

Kis Liye Maathe Pe Bal Hain, Ranj Ka Izhaar Kyon (2)
Dil Se Jab Iqraar Hai Toh, Munh Se Inkaar Kyon (2)
Kis Liye Maathe Pe Bal Hain, Ranj Ka Izhaar Kyon...

Aapki Khamoshiyaan Achchhi Nahin Lagti Humein (2)
Aji Kuchh Toh Kahiye, Kya Hua, Naraaz Hain Sarkaar Kyon (2)
Kis Liye Maathe Pe Bal Hain, Ranj Ka Izhaar Kyon...

Dil Ne Chaaha Aapko, Ismein Hamaara Kya Qasoor (2)
Baat Hai Chhoti Si Phir Bhi, Iss Qadr Taqraar Kyon (2)
Kis Liye Maathe Pe Bal Hain, Ranj Ka Izhaar Kyon...

Aapke Hote Hue Phir Kyon Na Ho, Dil Ka Ilaaj Kahiye Kyon Na Ho
Dil Ka Ilaaj
Sisakiyan Le Le Ke Mar Jaayein Bhala Beemar Kyon (2)
Kis Liye Maathe Pe Bal Hain, Ranj Ka Izhaar Kyon...

Baat Meri Maan Lo, Ek Baar Toh Keh Do Dil Se Haan (2)
Na Na Na Na!

Film - Dil Ki Rani 1947
MD - S.D.Burman
Lyricist - Y.N.Joshi
Singer(s) - Geeta Dutt

Kyon Baalam
Kyon Baalam Humse Rooth Gaye
Kyon Laage Naina Chhoot Gaye
Haaye Taar Dilon Ke Toot Gaye
O Bedardi, Bedardi (2)
Kyon Baalam
Kyon Baalam Humse Rooth Gaye
Kyon Laage Naina Chhoot Gaye
Haaye Taar Dilon Ke Toot Gaye
O Bedardi, Bedardi (2)
Kyon Baalam...

Main Sukh Ki Nindiya Soyi Thi, Mann Masti Mein Kuchh Khoyi Thi(2)
Sapnon Hi Sapnon Mein Saajan (2), Dil Ko Hamaare Loot Gaye
O Bedardi, Bedardi (2)
Kyon Baalam
Kyon Baalam Humse Rooth Gaye
Kyon Laage Naina Chhoot Gaye
Haaye Taar Dilon Ke Toot Gaye
O Bedardi, Bedardi (2)
Kyon Baalam...

Asha Ki Daali Par Tumne Daala Prem Ka Jhoola Re, Daala Prem ka Jhoola (2)
Jhool Jhool Yeh Bhola Manwa Apni Sudh-Budh Bhoola Re, Apni Sudh-Budh Bhoola (2)
Bandhe Hue The Prem Dor Mein (2), Haath Hamaare Chhoot Gaye
O Bedardi, Bedardi (2)
Kyon Baalam
Kyon Baalam Humse Rooth Gaye
Kyon Laage Naina Chhoot Gaye
Haaye Taar Dilon Ke Toot Gaye
O Bedardi, Bedardi (2)
Kyon Baalam!!

Film - Shabnam 1949
MD - S.D.Burman
Lyricist - Qamar Jalalabadi
Singer(s) - Geeta Dutt & Mukesh

Mukesh: Kismat Mein Bichhadna Tha, Hui Kyon Unse Mulaaqaat Re
Geeta Dutt: Na Rooth Ke Mujhse Jaa, Ke Mera Dil Nahin Mere Haath Re
Mukesh: Kismat Mein Bichhadna Tha, Hui Kyon Unse Mulaaqaat Re...

Geeta Dutt: Tu Kaun Hai Yeh Maloom Nahin (2), Phir Dil Kyon Tujhe Bulaata Hai
Taqdeer Ne Chhoda Saath, Magar Tu Chhod Na Mera Saath Re
Mukesh: Kismat Mein Bichhadna Tha, Hui Kyon Unse Mulaaqaat Re..

Mukesh: Main Apna Sab Kuchh Kho Baitha (2), Kya Pyaar Mein Tera Bigada Hai
Geeta Dutt: Tu Aake Dekh Le Ek Baar, Hai Meri Aankhon Mein Barsaat Re
Mukesh: Kismat Mein Bichhadna Tha, Hui Kyon Unse Mulaaqaat Re..

Mukesh: Yaad Aake Na Rasta Rok Mera (2), Mujhe Jaane De, Mujhe Jaane Re
Geeta Dutt: Ek Baar Laut Ke Aa, Thaam Le Aa Ke Mera Haath Re
Mukesh: Kismat Mein Bichhadna Tha, Hui Kyon Unse Mulaaqaat Re!

Film - Love Marriage 1959
MD - Shankar-Jaikishan
Lyricist - Hasrat Jaipuri
Singer(s) - Geeta Dutt

Kareeb Aao, Na Tadpaao, Humein Kehna Hai Kuchh Tumse Tumhaare Kaanon Mein (2)
Kareeb Aao.....

Gham-e-Furqat Se Humein Fursat Hai, Meri Kismat Hai Ke Aaye Tum
Kuchh Bhi Na Laaye, Toh Bhi Kya Gham Hai, Yehi Kya Kam Hai Ke Aaye Tum
Yehi Kya Kam Hai Ke Aaye Tum
Kareeb Aao, Na Tadpaao, Humein Kehna Hai Kuchh Tumse Tumhaare Kaanon Mein
Kareeb Aao.....

Jhoomega Zamaana Meri Dhadkan Pe, Aaj Mausam Pe Jawaani Hai
Teri Chaahat Mein Haaye Tu Na Jaane Maine Mit Jaane Ki Thaani Hai
Maine Mit Jaane Ki Thaani Hai
Kareeb Aao, Na Tadpaao, Humein Kehna Hai Kuchh Tumse Tumhaare Kaanon Mein
Kareeb Aao.....

Meri Aankhon Se Dil Jhaankta Hai, Aur Poochhta Hai Ishaaron Se
Bade Bereham Ho, Zara Muskuraao, Zameen Pe Toh Aao Sitaaron Se
Zameen Pe Toh Aao Sitaaron Se
Kareeb Aao, Na Tadpaao, Humein Kehna Hai Kuchh Tumse Tumhaare Kaanon Mein
Kareeb Aao, Na Tadpaao, Humein Kehna Hai Kuchh Tumse Tumhaare Kaanon Mein
Kareeb Aao!

Film - Insaan Aur Insaan 1970's
MD - Ratandeep
Lyricist - Traditional
Singer(s) - Geeta Dutt

Latt Uljhi Hai Suljha De More Baalma
Hooooo
Latt Uljhi Hai Suljha De More Baalma
Main Na Haath Lagaaungi, Saari Umr Bitaaungi
Latt Uljhi Hai Suljha De More Baalma
Latt Uljhi Hai Suljha De More Baalma
Main Na Haath Lagaaungi, Saari Umr Bitaaungi
Latt Uljhi Hai Suljha De More Baalma
Hooo Hooo...

Darpan Ke Aage, Bindiya Jo Chamke, Choodi Jo Bole
O Daiyaa Choodi Bole
Darpan Ke Aage, Bindiya Jo Chamke, Choodi Jo Bole
O Daiyaa Choodi Bole
Pyaase Badan Ko Dhakne Lagi Hai Jaipur Ki Choli
Iss Bairan Ko Samjha De More Baalma
Latt Uljhi Hai Suljha De More Baalma
Main Na Haath Lagaaungi, Saari Umr Bitaaungi
Latt Uljhi Hai Suljha De More Baalma
Hooo Hooo...

Tere Bina Yeh Sooni Padi Hai Sej Suhaani
O Saiyaan Sej Suhaani
Tere Bina Yeh Sooni Padi Hai Sej Suhaani
O Saiyaan Sej Suhaani
Sautaniya Ban Ke Roka Hai Jisne Tujhko O Jaani Haaye
Woh Naukariya Thukra De More Baalma
Latt Uljhi Hai Suljha De More Baalma
Main Na Haath Lagaaungi, Saari Umr Bitaaungi
Latt Uljhi Hai Suljha De More Baalma
Hooo Hooo Hooo
Hmmm Hmmm Hmmm
Hmmm Hmmm Hmmm
Hmmm Hmmm Hmmm!

Film - Arab Ka Saudagar 1956
MD - Hemant Kumar
Lyricist - S.H.Bihari
Singer(s) - Geeta Dutt

Meri Duniya Mein Khizaan Aayi
Abhi Dil Ki Kali Khilne Na Paayi Thi Ke Murjhaayi

Mohabbat Ka Nateeja Humne Duniya Mein Bura Dekha
Kahin Aansoo, Kahin Aahein, Na Kuchh Iske Siwa Dekha
Mohabbat Ka Nateeja Humne Duniya Mein Bura Dekha.

Bada Rangeen Ka Sapna Dekhna Chaaha Tha Ulfat Ka (2)
Tamanna Kya Thi Aankhon Ki, Magar Aankhon Ne Kya Dekha
Mohabbat Ka Nateeja Humne Duniya Mein Bura Dekha.

Hua Dhokha, Muqaddar Par Bharosa Karne Waalon Ko
Bharosa Karne Waalon Ko
Hua Dhokha, Muqaddar Par Bharosa Karne Waalon Ko
Bharosa Karne Waalon Ko
Ke Humne Aaj Tak Kismat Ka Ulta Faisla Dekha
Mohabbat Ka Nateeja Humne Duniya Mein Bura Dekha
Kahin Aansoo, Kahin Aahein, Na Kuchh Iske Siwa Dekha
Mohabbat Ka Nateeja Humne Duniya Mein Bura Dekha!

Film - Aab-e-Hyaat 1955
MD - Sardar Malik
Lyricist - Hasrat Jaipuri
Singer(s) - Geeta Dutt

Maara Re Maara Re Maara, Maara Re Maara Re Woh Maara
Aankhein Kataar, Dekha Mera Vaar, Tera Dil Kiya Hai Paara Paara
Tera Dil Kiya Hai Paara Paara, Woh Maara
Aankhein Kataar, Dekha Mera Vaar, Tera Dil Kiya Hai Paara Paara
Tera Dil Kiya Hai Paara
La La La La.....

Dilwaalon Saamne Aaayein, Do Baat Humse Kar Jaayein (2)
Maara Re Maara Woh Maara
Chehra Ho Zard, Seene Mein Dard, Phire Mere Peechhe Maara Maara
Phire Mere Peechhe Maara, Woh Maara
Aankhein Kataar, Dekha Mera Vaar, Tera Dil Kiya Hai Paara Paara
Tera Dil Kiya Hai Paara Paara

O Naujawaan Matwaale, Dil Ko Sambhaal, Dil Ko Sambhaal Dilwaale (2)
Maara Re Maara Woh Maara
Albeli Chaal, Resham Ka Jaal, Kare Dil Mein Dard Pyaara Pyaara
Kare Dil Mein Dard Pyaara, Woh Maara
Aankhein Kataar, Dekha Mera Vaar, Tera Dil Kiya Hai Paara Paara
Tera Dil Kiya Hai Paara
La La La La.....

Chutki Baja Ke Dil Lootun, Bijli Si Ban Ke Main Tootun (2)
Maara Re Maara Woh Maara
Jhoomun Toh Raag, Machalun Toh Aag, Yeh Baat Jaane Taara Taara
Yeh Baat Jaane Taara, Woh Maara
Aankhein Kataar, Dekha Mera Vaar, Tera Dil Kiya Hai Paara Paara
Tera Dil Kiya Hai Paara Paara, Woh Maara
Aankhein Kataar, Dekha Mera Vaar, Tera Dil Kiya Hai Paara Paara
Tera Dil Kiya Hai Paara!

Film - Aab-e-Hyaat 1955
MD - Sardar Malik
Lyricist - Hasrat Jaipuri
Singer(s) - Geeta Dutt & Chorus

Mera Dil (Aha Ho) Meri Jaan (Ohoo Hoo) Mera Dil Meri Jaan Chaahe Le Le
Chaahe Le Le, Ik Pyaar Zara Sa De De, Ho Ik Pyaar Zara Sa De De
Mera Dil Meri Jaan Chaahe Le Le, Chaahe Le Le, Ik Pyaar Zara Sa De De
Ho Ik Pyaar Zara Sa De De, Ho De De De De De De...
La La La La La, Hmmm Hmmmm Hmmm...

Yeh Pehli Pehli Chaahat, Yeh Behki Behki Haalat (2) La La La La La
Tu Phool Hai Main Hoon Rangat (2), Yeh Jhoomi Jhoomi Jannat (2)
Pyaar Ki Yeh Pari (2), Tere Dar Pe Khadi
Aa Idhar Jaadugar (Aha Ha Ha) O Jaadugar (Ho Hoooo Ho)
Aa Idhar Jaadugar Matwaale, Matwaale
Laaa Ishq Ki Duniya De De (2), Mera Dil Meri Jaan Chaahe Le Le
Chaahe Le Le, Ik Pyaar Zara Sa De De, Ho Ik Pyaar Zara Sa De De
Ho De De De De De De, La La La La La
La La La La La La...

Anmol Khushi Ki Yeh Ladiyaan, Mushkil Se Mile Yeh Ghadiyaan (2), La La La La La
Do Roz Ke Yeh Afsaane (2), Kal Kya Ho Khuda Hi Jaane (2)
Meharbaan (Hmmm Hmmm), Naujawaan (Hmm Hmmm)
Meharbaan, Naujawaan, Yeh Samaa Phir Kahan
Jaan-e-Mann (Aha Ha Ha) Mera Ban (Hoo Hoo), Jaan-e-Mann, Mera Ban Albele, Albele
Tu Jhoom Ke Haan Toh Keh De (2), Mera Dil Meri Jaan Chaahe Le Le
Chaahe Le Le, Ik Pyaar Zara Sa De De, Ho Ik Pyaar Zara Sa De De
Ho De De De De De De, La La La La La
Hmmm Hmmmm Hmmm...

Yeh Raat Ka Phaila Daaman, Har Taara Dil Ki Dhadkan (2), La La La La La
Na Taj Hukumat Maangun (2), Main Tujhse Mohabbat Maangun (2)
Chaandni (Hmm Hmmm), Raat Hai (Hmm Hmm)
Chaandni Raat Hai, Tu Mere Saath Hai
Yeh Jahaan (Aha Ha Ha) Hai Tera (Hoo Hoo)
Yeh Jahaan Hai Tera, Dil Waale, Dilwaale, Qadamon Mein Jagah Hi De De (2)
Mera Dil Meri Jaan Chaahe Le Le, Chaahe Le Le, Ik Pyaar Zara Sa De De
Ho Ik Pyaar Zara Sa De De, Ho De De De De De De!

Film - Bhool Na Jaana 1965
MD - Daan Singh
Lyricist - Hari Ram Aacharya
Singer(s) - Geeta Dutt

Mere Humnasheen, Mere Humnawaan, Mere Paas Aa
Mujhe Thaam Le, Mujhe Thaam Le
Mere Humnasheen, Mere Humnawaan...

Tu Chala Hai Mujhse Bichhad Ke Yoon
Jyon Shiksta Saaz Se Raagini
Jyon Chali Ho Jism Se Door Jaan
Jyon Chali Ho Aankh Se Roshni
Mujhe De De Baahon Ka Aasra, Mere Paas Aa
Mujhe Thaam Le, Mujhe Thaam Le
Mere Humnasheen, Mere Humnawaan...

Yeh Tera Milan, Yeh Tera Karam
Hai Mujhe Hyaat Se Kam Nahin
Tu Hai Saamne Toh Mere Sanam
Mujhe Maut Ka Bhi Alam Nahin
Ae Bahaar-e-Dil, Ae Sukoon-e-Jaan, Mere Paas Aa
Mujhe Thaam Le, Mujhe Thaam Le
Mere Humnasheen, Mere Humnawaan
Mere Humnasheen, Mere Humnawaan
Mere Humnasheen, Mere Humnawaan!

Film - Shabnam 1949
MD - S.D.Burman
Lyricist - Qamar Jalalabadi
Singer(s) - Geeta Dutt

(Part I)
Hoooooo
Mera Dil Tadpa Kar Kahan Chala, Itna Toh Bata Ke Jaa
Isse Khel Kahun Ya Pyaar Kahun, Mujhe Yeh Samjha Ke Jaa
Hoooo Mera Dil Tadpa Kar Kahan Chala....

Hum Laaye Pyaar Ki Dor, Tu Tod Sake Toh Tod, Laga Le Zor (2)
Isse Jeet Kahun Ya Haar Kahun, Itna Toh Bata Ke Jaa
Hoooo Mera Dil Tadpa Kar Kahan Chala....

Hoooooo
Jab Dekha Pehli Baar Tujhe, Mere Kaanon Ne Shehnaayi Suni
Shehnaayi Suni Mere Kaanon Ne, Shehnaayi Suni Mere Kaanon Ne
Kya Tu Ne Suni Thi Shehnaayi, Itna Toh Bata Ke Jaa
Hoooo Mera Dil Tadpa Kar Kahan Chala....

Honthon Pe Nah, Aankhon Mein Haan, Kuchh Roothe Hue, Kuchh Maane Hue
Iqraar Hai Yeh, Inkaar Hai Yeh, Itna Toh Bata Ke Jaa
Hoooo Mera Dil Tadpa Kar Kahan Chala....

Jee Bhar Ke Sataaya Tu Ne Humein, Ab Chori Chori Jaane Laga
O Door Des Ke Saudagar, Karza Toh Chuka Ke Jaa (2)
Hoooo Mera Dil Tadpa Kar Kahan Chala
Isse Khel Kahun Ya Pyaar Kahun, Mujhe Yeh Samjha Ke Jaa
Hoooo Mera Dil Tadpa Kar Kahan Chala!

Film - Maa 1952
MD - Nisar S.K.Pal
Lyricist - Bharat Vyas
Singer(s) - Geeta Dutt & Bharat Bhushan

Main Na Bolungi, Ho Main Na Bolun Na Bolun Na Bolungi
Aaj Mere Chhote Se Dil Mein Chhupa Hai Kya Raaz
Main Na Kholungi Aaj, Main Na Bolungi Aaj...

(Bharat Bhushan: - Kya Raaz Hai Humein Toh Bataao)

Saawan Ke Ithlaate Baadal Se Poochh Lo, Ji Baadal Se Poochh Lo
Kajraare Nainon Ke Kaajal Se Poochh Lo, Ji Kaajal Se Poochh Lo
Bhole Balam Mohe Laage Sharm Haaye Laage Sharm
Yeh Bharm Apne Mann Ka Na Kholungi
Aaj Main Na Bolungi, Aaj Main Na Bolungi Aaj
Main Na Bolungi, Ho Main Na Bolun Na Bolun Na Bolungi
Aaj Mere Chhote Se Dil Mein Chhupa Hai Kya Raaz
Main Na Kholungi Aaj, Main Na Bolungi Aaj...

(Bharat Bhushan: - Achchha Hum Bhi Nahin Sun-na Chaahte)

Hooooooo
Suna Maine Jo Woh Kaise Sunaaun, Woh Baatein Tumhein Main Kaise Bataaun
Kaho Ji Kaise Bataaun, Kuchh Khud Samjho, Kuchh Khud Samjho
Kuchh Khud Samjho, Kuchh Meri Palkan Se Samjh Lo
Kuchh Dil Mein Chhupi Dil Ki Dhadkan Se Samjh Lo
Bhole Balam Mohe Laage Sharm Haaye Laage Sharm (2)
Yeh Bharm Apne Mann Ka Na Kholungi
Aaj Main Na Bolungi, Aaj Main Na Bolungi Aaj
Main Na Bolungi, Ho Main Na Bolun Na Bolun Na Bolungi
Aaj Mere Chhote Se Dil Mein Chhupa Hai Kya Raaz
Main Na Kholungi Aaj, Main Na Bolungi Aaj!

Film - Sachche Moti 1962
MD - N.Dutta
Lyricist - Sahir Ludhianvi
Singer(s) - Geeta Dutt

Mere Munne Re
Mere Munne Re Seedhi Raah Pe Chalna, Jug Jug Tak Phoolna Phalna
Mere Munne Re Seedhi Raah Pe Chalna, Jug Jug Tak Phoolna Phalna
Mere Munne Re...

Kaisi Bhi Mushkil Aaye, Tera Paon Na Dholne Paaye
Tera Paon Na Dholne Paaye
Tu Kul Ka Maan Badhaaye, Main Tujh Par Balihaari
Seedhi Raah Pe Chalna, Jug Jug Tak Phoolna Phalna
Mere Munne Re....

Sach Baat Se Mat Ghabraana, Har Jhooth Se Takra Jaana
Har Jhooth Se Takra Jaana
Sansaar Mein Naam Kamaana, Main Tujh Par Balihaari
Seedhi Raah Pe Chalna, Jug Jug Tak Phoolna Phalna
Mere Munne Re....

Meri Jeevan Raat Andheri, Tu Nanhi Jyot Hai Meri
Tu Nanhi Jyot Hai Meri
Kal Ho Ke Na Ho Maa Teri, Main Tujh Par Balihaari
Seedhi Raah Pe Chalna, Jug Jug Tak Phoolna Phalna
Mere Munne Re Seedhi Raah Pe Chalna, Jug Jug Tak Phoolna Phalna
Mere Munne Re!

Film - Dr. Shaitaan 1960
MD - N.Dutta
Lyricist - Jaan Nisaar Akhtar
Singer(s) - Geeta Dutt

Main Hoon Atom Bomb, Bomb
Haath Mein Aate, Haath Lagaate, Nikle Sabka Dum
Main Hoon Atom Bomb, Main, Main Hoon Atom Bomb....

Bijli Mujhse Darr Ke Bhaage, Koi Na Thehare Mere Aage (2)
Aag Ka Shola, Top Ka Gola Sab Hain Mujhse Kam
Main Hoon Atom Bomb, Main, Main Hoon Atom Bomb....

Mere Jitne Chaahne Waale, Tan Ke Gore, Mann Ke Kaale (2)
Chor Lootere Kaun Yeh Mere, Mujhko Kiska Gham
Main Hoon Atom Bomb, Main, Main Hoon Atom Bomb....

Ek Qayaamat Mera Dhamaaka, Mujh Mein Dekho Zor Bhala Ka (2)
Door Hi Rehna, Phir Na Kehna, Samjhe The Kya Hum
Main Hoon Atom Bomb, Main, Main Hoon Atom Bomb!!

Film - Darogaji 1949
MD - Bulo C.Rani
Lyricist - M.L.Khanna
Singer(s) - Geeta Dutt

Meri Soyi Preet Jaga Ke, Bichhad Mat Jaana, Bichhad Mat Jaana (2)
Meri Akhiyan Beech Sama Ke, Nazar Na Churaana, Nazar Na Churaana (2)
More Saajan Mohe Kabhun Na Bhoolna (2)
Mann Mein Samaana, More Nainon Mein Jhoolna, Mann Mein Samaana
Haan Dil Mein Samaana, More Nainon Mein Jhoolna
Mujhi Mein Ram Jaana (2)
Meri Soyi Preet Jaga Ke, Bichhad Mat Jaana, Bichhad Mat Jaana....

Tujh Bin Saajan Reh Na Sakungi (2)
Birah Ke Dukh Seh Na Sakungi (2)
Preet Kiye Ki Laaj Hata Ke (2)
Karna Daga Nahin Saajan Mohse (2)
Preet Ki Reet Nibhaana, Bichhad Mat Jaana, Bichhad Mat Jaana
Meri Soyi Preet Jaga Ke, Bichhad Mat Jaana, Bichhad Mat Jaana...

Do Mann Sang Sang Dhadak Rahe Hain (2)
Madh Ke Pyaale Chhalak Rahe Hain (2)
Jeevan Sej Pe Soye Hain Dono (2)
Prem-Swapan Mein Khoye Hain Dono (2)
Pyaar Ka Hai Yeh Zamaana, Bichhad Mat Jaana, Bichhad Mat Jaana
Meri Soyi Preet Jaga Ke, Bichhad Mat Jaana, Bichhad Mat Jaana!

Film - Son of India 1962
MD - Naushad Ali
Lyricist - Shakeel Badayuni
Singer(s) - Geeta Dutt

Mujhe Huzoor Tumse Pyaar Hai, Tumhi Pe Zindagi Nisaar Hai
Mujhe Huzoor Tumse Pyaar Hai, Tumhi Pe Zindagi Nisaar Hai ...

Khushi Ke Saaz Hain Chhide Hue, Dilon Ke Raag Hain Ghule Hue
Sabhi Hain Husn Par Lute Hue, Zamaana Aaj Beqaraar Hai
Mujhe Huzoor Tumse Pyaar Hai, Tumhi Pe Zindagi Nisaar Hai ....

Idhar Yeh Raat Ki Jawaaniyan, Udhar Tumhaari Meharbaaniyan
Bani Hain Pyaar Ki Kahaaniyan, Yeh Raat Ek Yaadgaar Hai
Mujhe Huzoor Tumse Pyaar Hai, Tumhi Pe Zindagi Nisaar Hai
Mujhe Huzoor Tumse Pyaar Hai, Tumhi Pe Zindagi Nisaar Hai!

Film - Do Dulhe
MD - B.S.Kalla
Lyricist - Pandit Indra
Singer(s) - Geeta Dutt & Mohd.Rafi

Geeta Dutt: Main Bhi Jawaan Hoon, Tum Bhi Jawaan Ho, Phir Kis Liye Ulfat Na
Rang Laaye
Mohd.Rafi: Aha Ahaaa
Humko Pasand Tum, Tumko Pasand Hum, Phir Kis Liye Laajo Meri Lajaaye
Both: Aaaaaaaaa Aaaaaaa
Mohd.Rafi: Ho Ho Ho Ho......

Geeta Dutt: Paagal Hain Mere Nain Tere Nain Dekh Kar (2)
Mohd.Rafi: Bechain Dil Hai Aati Hui Rain Dekh Kar (2)
Geeta Dutt: Dekha Na Tha Piya Humne Kabhi Tumhein, Phir Kis Liye Sapne Tumhaare Aaye
Both: Main Bhi Jawaan Hoon, Tum Bhi Jawaan Ho, Phir Kis Liye Ulfat Na Rang Laaye
Aha Aha Aaaaaaaa....

Mohd.Rafi: Lo Humko Nasha Aa Raha Hai Tumko Dekh Kar (2)
Geeta Dutt: Dil Dilruba Ka Jaa Raha Hai (Aha Aha Arrey Wah Wah)
Dil Dilruba Ka Jaa Raha Hai, Tumko Dekh Kar
Mohd.Rafi: Mukhda Yeh Tumhaara Poonam Ka Chaand Hai, Phir Kis Liye Who Chaand Yaad Aaye
Both: Main Bhi Jawaan Hoon, Tum Bhi Jawaan Ho, Phir Kis Liye Ulfat Na Rang Laaye
Aaa Aaaaaaaaaaa!

Film - Jaan Pehchaan 1950
MD - Khem Chand Prakash & Manna Dey
Lyricist - Shakeel Badayuni
Singer(s) - Geeta Dutt

Naina Mila Ke Dil Chheena, Naina Mila Ke Dil Chheena
Haaye Sajan Kyon Bhool Gaye, Haaye Balam Kyon Bhool Gaye
Naina Mila Ke Dil Chheena, Naina Mila Ke Dil Chheena...

Jabse Gaye O Piya, Chain Na Aaye (2)
Murjhaaye Dil Ki Kali, Yaad Sataaye, Yaad Sataaye
Jeena Kahan Hai Ab Jeena, Jeena Kahan Hai Ab Jeena
Haaye Sajan Kyon Bhool Gaye, Haaye Balam Kyon Bhool Gaye...

Dil Ki Khabar Hi Na Li, Dil Ko Lubha Ke (2)
Bhoole Ho Aise Preetam Apna Bana Ke (2)
Jaise Mile The Kabhi Na, Jaise Mile The Kabhi Na
Haaye Sajan Kyon Bhool Gaye, Haaye Balam Kyon Bhool Gaye...

Manwa Yeh Chaahe Geet Gaaun, Koi Geet Gaaun (2)
Kaise Sunaaun Haaye Kisko Sunaaun (2)
Toot Gayi Hai Mann-Beena, Toot Gayi Hai Mann-Beena
Haaye Sajan Kyon Bhool Gaye, Haaye Balam Kyon Bhool Gaye!

Film - Dil Ki Basti 1949
MD - Ghulam Mohammed
Lyricist - Shakeel Badayuni
Singer(s) - Geeta Dutt
Na Tum Mere Na Dil Mera, Ajab Hai Bebasi Meri (2)
Mohabbat Mein Tamaasha Ban Gayi Hai, Zindagi Meri (2)

Meri Duniya Tum Hi Tum The, Meri Duniya Tum Hi Tum Ho (2)
Main Kis Munh Se Kahun Zaalim Ke Duniya Lut Gayi Meri (2)
Na Tum Mere Na Dil Mera, Ajab Hai Bebasi Meri...

Khabar Kya Thi Mohabbat Mein Ik Aisa Din Bhi Aayega (2)
Yeh Haalat Hai Ke Aansoo Bhi Udaate Hain Hansi Meri (2)
Na Tum Mere Na Dil Mera, Ajab Hai Bebasi Meri!

Film - Passport 1961
MD - Kalyanji Anandji
Singer(s) - Geeta Dutt

Nazar Ka Jhuk Jaana, Zubaan Ka Ruk Jaana
Isi Ko Meri Jaan, Mohabbat Kehte Hain
Nazar Ka Jhuk Jaana, Zubaan Ka Ruk Jaana
Isi Ko Meri Jaan, Mohabbat Kehte Hain.....

Badi Hain Rangeeen, Hawaayein Dekho, Taraana Gaao Ji Zamaana Kehta Hai
Sabhi Dilwaale Hue Matwaale, Bahaarein Aayi Hain Zamaana Kehta Hai
Bahaaron Ko, Ishaaron Ko Samjh Lo Ji
Nazar Ka Jhuk Jaana, Zubaan Ka Ruk Jaana
Isi Ko Meri Jaan, Mohabbat Kehte Hain.....

Yeh Kaali Zulfein Agar Bikhra Doon, Falak Pe Aawara Ghataayein Jhuk Jaayein
Nazar Ki Shokhi Agar Dikhla Doon, Ghata Ke Daaman Mein Sitaare Chhup Jaayein
Sitaaron Ko, Ishaaron Ko Samjh Lo Ji
Nazar Ka Jhuk Jaana, Zubaan Ka Ruk Jaana
Isi Ko Meri Jaan, Mohabbat Kehte Hain....

Nasheeli Mastti, Nazar Se Baatein, Kisi Se Milne Ke Bahaane Bante Hain
Udhar Khamoshi, Idhar Madhoshi, Aankhon Aankhon Mein Fasaane Bante Hain
Ishaaron Ko, Ishaaron Ko Samjh Lo Ji
Nazar Ka Jhuk Jaana, Zubaan Ka Ruk Jaana
Isi Ko Meri Jaan, Mohabbat Kehte Hain!

Film - Heer 1956
MD - Anil Biswas
Lyricist - Majrooh Sultanpuri
Singer(s) - Geeta Dutt, Hemant Kumar & Chorus

Geeta Dutt: Mili Unse Nazar, Bas Raha Tha Ek Jahaan
Hati Nighaah Toh Chaaron Taraf Hai Veeraane O Saajna
Chhoota Hai Jo Daaman Tera, Manzil Manzil Hai Andhera, O Saajna
Hemant Kumar: Jaa Dilruba, Tere Saath Chala Dil Mera, Rahe Pyaar Nighaahbaan Tera Jaa Dilruba, Jaa Dilruba..

Chorus: (Preet Laga Ke Gham Se Aahein Bharna Kya, Raah Chale Toh Kaanton Se Darna Kya)

Geeta Dutt: Haaye Oooo, Dil Ki Tamanna Poori Hone Na Paayi, Aake Jigar Mein Laga Teer-e-Judaai
O Saajna, Zara Dekh Tadpana Mera, Manzil Manzil Hai Andhera, O Saajna
Hemant Kumar: Jaa Dilruba, Dil Ko Tere Behlaaunga Ummeed Ka Taara Ban Ke
Jhoomunga Aankhon Mein Teri Manzil Ka Nazaara Ban Ke (2)
Jaa Dilruba, Nahin Door Milan Ka Dhera, Rahe Pyaar Nighaahbaan Tera
Jaa Dilruba, Jaa Dilruba..
Chorus: (Preet Laga Ke Gham Se Aahein Bharna Kya, Raah Chale Toh Kaanton Se Darna Kya)

Geeta Dutt: Haaye Oooo, Hongi Jo Sooni Sooni Ulfat Ki Raahein, Dhoondha Karengi Tujhko Meri Nighaahein
O Saajna, Main Leke Chali Gham Tera, Manzil Manzil Hai Andhera, O Saajna
Hemant Kumar: Jaa Dilruba, Yaad Hamaari Ban Ke Chaandni Raah Mein Khil Jaayegi
Qadam Qadam Par Tujhko Dhadkate Dil Ki Sada Aayegi (2)
Jaa Dilruba, Teri Raah Mein Sab Kuchh Mera, Rahe Pyaar Nighaahbaan Tera
Jaa Dilruba
Geeta Dutt: O Saajna, Chhoota Hai Jo Daaman Tera, Manzil Manzil Hai Andhera, O Saajna
Hemant Kumar: Jaa Dilruba, Tere Saath Chala Dil Mera, Rahe Pyaar Nighaahbaan Tera
Both: O Saajna Jaa Dilruba, O Saajna, O Dilruba, O Saajna, O Dilruba
Chorus: (Preet Laga Ke Gham Se Aahein Bharna Kya, Raah Chale Toh Kaanton Se Darna Kya 2 )
Hemant Kumar: Jaa Dilruba
Geeta Dutt: O Saajna!

Film - Jaan Pehchaan 1950
MD - Khem Chand Prakash & Manna Dey
Lyricist - Shakeel Badayuni
Singer(s) - Geeta Dutt

Pardesi Se Lag Gayi Preet Re, Pardesi Se Lag Gayi Preet Re
Chupke Chupke Koi Dil Ko, Le Gaya Kheench Re (2)
Pardesi Se, Hooo, Pardesi Se, Hooo Pardesi Se Lag Gayi Preet Re....

Mastt Umangein Naach Rahi Hain, Chhed Rahi Hain Geet Suhaane (2)
Dil Ki Duniya Jhoom Rahi Hai, Kaun Laga Nainon Mein Samaane (2)
Kaun Laga Nainon Mein Samaane, Ban Ke Mann Ka Meet Re
Hooo Ban Ke Mann Ka Meet Re
Pardesi Se, Hooo, Pardesi Se, Hooo Pardesi Se Lag Gayi Preet Re....

Aaj Kisi Ke Pyaare Dil Ko, Loot Liya Deewana Bana Ke (2)
Humko Jinki Aas Lagi Thi, Laaye Hum Unko Dil Mein Basa Ke (2)
Laaye Hum Unko Dil Mein Basa Ke, Gaata Hai Dil Geet Re
Hooo Gaata Hai Dil Geet Re
Pardesi Se, Hooo, Pardesi Se, Hooo Pardesi Se Lag Gayi Preet Re....

Film - Afsar 1950
MD - S.D.Burman
Lyricist - Narendra Sharma
Singer(s) - Geeta Dutt & Suraiya

Preet Ka Naata Jodne Waale, Preet Ka Naata Aji Tod Na Jaana (2)
Tum Jo Mile, Mil Gaya Mujhe Bhi Jeene Ka Ek Madhur Bahaana
Jeene Ka Ek Madhur Bahaana
Preet Ka Naata Jodne Waale, Preet Ka Naata Aji Tod Na Jaana...

Preet Ka Naata Jodne Waale, Preet Ka Naata Aji Tod Na Jaana (2)
Tum Jo Mile, Mil Gaya Mujhe Bhi Jeene Ka Ek Madhur Bahaana
Jeene Ka Ek Madhur Bahaana, Madhur Bahaana...

Din Hon Phool, Raatein Kaliyan, Din Hon Phool
Madhuban Ho Mere Mann Ki Galiyan, Raatein Kaliyan
Din Hon Phool
Hans Hans Kar Mann Basne Waale Meet Bana Kar Preet Nibhaana
Preet Ka Naata Tod Na Jaana, Na
Preet Ka Naata Tod Na Jaana, Na
Preet Ka Naata Tod Na Jaana, Na!!

Film - Hamaari Manzil 1949
MD - Husnlal Bhagatram
Lyricist - Qamar Jalalabadi
Singer(s) - Geeta Dutt

Saajan Se Bichhad Kar Dil Ne Kaha, Saajan Se Bichhad Kar Dil Ne Kaha
Tum Hanste Raho, Hum Rote Rahein, Tum Hanste Raho, Hum Rote Rahein
Tum Thukraao Hum Karein Dua, Tum Thukaao Hum Karein Dua
Tum Hanste Raho, Hum Rote Rahein, Tum Hanste Raho, Hum Rote Rahein

Bhagwaan Se Koi Maange Khushi (2), Koi Maange Mohabbat Saajan Ki (2)
Humne Bas Itna Maang Liya, Humne Bas Itna Maang Liya
Tum Hanste Raho, Hum Rote Rahein, Tum Hanste Raho, Hum Rote Rahein...

Duniya Ne Tumse Door Kiya (2), Aur Rone Par Majboor Kiya (2)
Rote Rote Bhi Humne Kaha, Rote Rote Bhi Humne Kaha
Tum Hanste Raho, Hum Rote Rahein, Tum Hanste Raho, Hum Rote Rahein
Saajan Se Bichhad Kar Dil Ne Kaha, Saajan Se Bichhad Kar Dil Ne Kaha
Tum Hanste Raho, Hum Rote Rahein, Tum Hanste Raho, Hum Rote Rahein
Tum Hanste Raho, Hum Rote Rahein, Tum Hanste Raho, Hum Rote Rahein!

Film - Jeet 1949
MD - Shyam Babu Pathak
Lyricist - Prem Dhawan
Singer(s) - Geeta Dutt

Suno Suno Banwaari Mori (2)
Duniya, Duniya Teri Bhayi Dukhiyaari
Suno Suno Banwaari Mori, Suno Suno....

Mahalon Mein Koi Raas Rachaaye, Koi Dar Dar Thokar Khaaye (2)
Ek Hanse, Ek Roye (2) Jag Mein, Kaise Tujhse Dekha Jaaye (2)
Yeh Kaisa Anyaaye Muraari, Yeh Kaisa Anyaaye Muraari
Duniya, Duniya Teri Bhayi Dukhiyaari
Suno Suno Banwaari Mori, Suno Suno....

Iss Dharti Se Sona Nikle, Iss Aakash Se Amrit Barse (2)
Phir Bhi Teri Kitni Duniya, Roti Ke Tukdon Ko Tarse (2)
Bhookhe Hain Laakhon Nar Naari
Suno Suno Banwaari Mori (2)
Duniya, Duniya Teri Bhayi Dukhiyaari
Suno Suno Banwaari Mori, Suno Suno....

Deen Dharam Ke Jhagdon Mein Yeh Duniya Teri Mit-ti Jaaye (2)
Dhan Daulat Ke Naam Pe Bhai, Bhai ka Hi Lahoo Bahaaye
Humein Jaga Dein, Raah Bata De (2), Rakh Le Laaj Hamaari
Suno Suno Banwaari Mori (2)
Duniya, Duniya Teri Bhayi Dukhiyaari
Suno Suno Banwaari Mori, Suno Suno!!

Film - Ada 1951
MD - Madan Mohan
Lyricist - S.K.Deepak
Singer(s) - Geeta Dutt

Sachchi Baatein Bataane Mein Kaisi Sharm
Hue Mere Balam, Hue Mere Balam (2)
Mera Mann Hai Magan, Mujhe Kis Baat Ka Gham
Hue Mere Balam, Hue Mere Balam (2)...

Gair Unko Bahut Behakaate Rahe
Apni Jhoothi Adaayein Dikhaate Rahe
Gair Unko Bahut Behkaate Rahe
Apni Jhoothi Adaayein Dikhaate Rahe
Tod Unka, Tod Unka Bharm, Ae Mere Sanam
Hue Mere Balam, Hue Mere Balam (2)
Sachchi Baatein Bataane Mein Kaisi Sharm
Hue Mere Balam, Hue Mere Balam (2)...

Chaar Din Ginke Duniya Mein Preetam Rahe (2)
Unke Laakhon Sitam Ko Bhi Maine Sahe (2)
Aaj Rote Hain, Aaj Rote Hain Who Aur Hanste Hain Hum
Hue Mere Balam, Hue Mere Balam (2)
Sachchi Baatein Bataane Mein Kaisi Sharm
Hue Mere Balam, Hue Mere Balam (2)...

Kabhi Aankhein Utha Ke Chalte The Jo (2)
Aaj Nazarein Jhukaayein Yahan Baithe Hain Woh (2)
Unki Haalat Pe Aata Hai Humko Reham
Hue Mere Balam, Hue Mere Balam (2)
Sachchi Baatein Bataane Mein Kaisi Sharm
Hue Mere Balam, Hue Mere Balam!!

Film - Passport 1961
MD - Kalyanji Anandji
Lyricist -
Singer(s) - Geeta Dutt

Tauba Tauba Tauba, Haaye Tauba Meri Maan (2)
Leke Mere Dil Ko Bano Na Beimaan
Ho Leke Mere Dil Ko Bano Na Beimaan
Tauba Tauba Tauba, Hoo Tauba Meri Maan (2)
Leke Mere Dil Ko Bano Na Beimaan
Ho Leke Mere Dil Ko Bano Na Beimaan....

Jaan-e-Chaman Ki Rangeen Bahaarein, Kisko Pukaare, Kisko Pukaare (2)
Dekhi Hain Aisi Bahaarein Kahan
Tauba Tauba Tauba, Hoo Tauba Meri Maan (2)
Leke Mere Dil Ko Bano Na Beimaan
Ho Leke Mere Dil Ko Bano Na Beimaan....

Duniya Mein Laakhon Baanke Jawaan Hain, Meri Ada Pe Sab Meharbaan Hai (2)
Tumse Hi Zaalim Ko Dil Kyon Diya
Tauba Tauba Tauba, Hoo Tauba Meri Maan (2)
Leke Mere Dil Ko Bano Na Beimaan
Ho Leke Mere Dil Ko Bano Na Beimaan....

Humne Tumhi Se Aankh Milaayi, Mehfil Mein Kyon Yeh Tanhaayi 92)
Hum Hain Tumhaare, Tumhaari Kasam
Tauba Tauba Tauba, Hoo Tauba Meri Maan (2)
Leke Mere Dil Ko Bano Na Beimaan
Ho Leke Mere Dil Ko Bano Na Beimaan!

Film - Dilruba 1950
MD - Gyan Dutt
Lyricist - Nikhanth Tiwari
Singer(s) - Geeta Dutt

Tum Dil Mein Chale Aate Ho, Sapnon Mein Dhale Jaate Ho (2)
Tum Mere Dil Ka Taar Taar, Chhede Chale Jaate Ho, Tum Chhede Chale Jaate Ho
Tum Dil Mein Chale Aate Ho, Sapnon Mein Dhale Jaate Ho
Tum Mere Dil Ka Taar Taar, Chhede Chale Jaate Ho, Tum Chhede Chale Jaate Ho..

Aati Hai Teri Yaad Mere Dil Mein Yoon Jaadubhari (2)
Jaise Ke Nadiya Kinaare Goonjti Ho Bansuri (2)
Tum Yaad Bhale Aate Ho, Iss Dil Ko Male Jaate Ho (2)
Tum Mere Dil Ka Taar Taar, Chhede Chale Jaate Ho, Tum Chhede Chale Jaate Ho
Tum Dil Mein Chale Aate Ho, Sapnon Mein Dhale Jaate Ho
Tum Mere Dil Ka Taar Taar, Chhede Chale Jaate Ho, Tum Chhede Chale Jaate Ho..

Tum Yoon Base Hue Ho Meri Zindagi Ke Saans Mein (2)
Yoon Base Hue Ho Meri Zindagi Ke Saans Mein
Jaise Ke Aadhi Raat Ho Aur Chaand Ho Aakash Mein (2)
Aur Chaand Ho Aakash Mein
Palkon Pe Chale Aate Ho, Aankhon Mein Gule Jaate Ho (2)
Tum Mere Dil Ka Taar Taar, Chhede Chale Jaate Ho, Tum Chhede Chale Jaate Ho
Tum Dil Mein Chale Aate Ho, Sapnon Mein Dhale Jaate Ho
Tum Mere Dil Ka Taar Taar, Chhede Chale Jaate Ho, Tum Chhede Chale Jaate Ho!

Film - Apna Ghar 1960
MD - Ravi
Lyricist - Prem Dhawan
Singer(s) - Geeta Dutt & Mukesh

Mukesh: Tumse Hi Meri Zindagi, Meri Bahaar Tum (2)
Geeta Dutt: Apne Hi Dil Se Poochh Lo, Kiska Ho Pyaar Tum
Mukesh: Tumse Hi Meri Zindagi....

Mukesh: Gaati Hui Hawaaon Mein Tera Hi Geet Hai, Tera Hi Geet Hai
Geeta Dutt: Saajan Mere Nighaah Mein Teri Hi Preet Hai, Teri Hi Preet Hai
Chanda Ka Roop Chaandni, Mera Singaar Tum
Tumse Hi Meri Zindagi....

Geeta Dutt: Yeh Muskuraata Aasmaan, Yeh Jhoomti Zameen, Yeh Jhoomti Zameen
Mukesh: Mujhko Zara Sambhaalna, Kho Jaaun Na Kahin, Kho Jaaun Na Kahin
Aise Mein Apna Keh Bhi Do, Bas Ek Baar Tum
Both: Tumse Hi Meri Zindagi....

Mukesh: Aati Hai Aisi Pyaar Ki Ghadiyan Naseeb Se, Ghadiyan Naseeb Se
Geeta Dutt: Yeh Dil Ki Dhadakne Zara Sun Lo Kareeb Se, Sun Lo Kareeb Se
Aaye Ho Leke Pyaar Ke Sapne Hazaar Tum
Mukesh: Apne Hi Dil Se Poochh Lo, Kiska Ho Pyaar Tum
Both: Tumse Hi Meri Zindagi!

Film - Jagga Daaku 1959
MD - S.N.Tripathi
Lyricist - B.D.Mishra
Singer(s) - Geeta Dutt

Teri Kasam, Teri Kasam, Tujhko Sanam Pyaar Kiya Re
Teri Mohabbat Ne Beqaraar Kiya Re, Beqaraar Kiya Re
Haaye Teri Kasam....

Tu Jo Muskuraaya (2), Halka Sa Nasha Chhaya
Madhosh Hoke Maine Tujhpe Apna Dil Lutaaya
Tu Jo Muskuraaya, Halka Sa Nasha Chhaya
Madhosh Hoke Maine Tujhpe Apna Dil Lutaaya
Tujhpe Apna Dil Lutaaya
Haaye Teri Kasam, Teri Kasam, Tujhko Sanam Pyaar Kiya Re
Teri Mohabbat Ne Beqaraar Kiya Re, Beqaraar Kiya Re
Haaye Teri Kasam....

Pyaar Pehla Pehla (2), Iqraar Pehla Pehla
Yeh Pehli Pehli Haar Ka Izhaar Pehla Pehla
Pyaar Pehla Pehla, Iqraar Pehla Pehla
Yeh Pehli Pehli Haar Ka Izhaar Pehla Pehla
Izhaar Pehla Pehla
Haaye Teri Kasam, Teri Kasam, Tujhko Sanam Pyaar Kiya Re
Teri Mohabbat Ne Beqaraar Kiya Re, Beqaraar Kiya Re
Haaye Teri Kasam....

Naaz Mera Tu Hai (2), Andaaz Mera Tu Hai
Tu Raaz-e-Zindagi Hai, Mere Dil Ki Aarzoo Hai
Naaz Mera Tu Hai, Andaaz Mera Tu Hai
Tu Raaz-e-Zindagi Hai, Mere Dil Ki Aarzoo Hai
Mere Dil Ki Aarzoo Hai
Haaye Teri Kasam, Teri Kasam, Tujhko Sanam Pyaar Kiya Re
Teri Mohabbat Ne Beqaraar Kiya Re, Beqaraar Kiya Re
Haaye Teri Kasam!

Film - Lekh 1949
MD - Krishna Dayal
Lyricist - Qamar Jalalabadi
Singer(s) - Geeta Dutt

Tu Muskuraa, Tu Muskuraa, Mere Lab Pe Hansi Rahe Na Rahe
Tu Muskuraa..
Teri Khushi Rahe (2) Meri Khushi Rahe Na Rahe
Tu Muskuraa...

Qaraar Dil Se Gaya, Pyaar Zindagi Se Gaya (2)
Sukoon Mile Na Mile, Zindagi Rahe Na Rahe
Tu Muskuraa...

Dikha Ek Jhalak, Zindagi Ko Roshan Kar (2)
Phir Uske Baad Meri, Zindagi Rahe Na Rahe
Tu Muskuraa
Tu Muskuraa, Mere Lab Pe Hansi Rahe Na Rahe
Tu Muskuraa!

Film - Hamaari Manzil 1949
MD - Husnlal Bhagatram
Lyricist - Qamar Jalalabadi
Singer(s) - Geeta Dutt

Tere Aane Pe Dil Dhadke, Tere Jaane Pe Dil Roye

Tera Aana, Tera Jaana, Tera Aana, Tera Jaana
Na Yeh Achchha, Na Woh Achchha...

Kisi Din Tu Bhi Kuchh Keh Le, Kisi Din Main Bhi Kuchh Keh Doon
Kisi Din Main Bhi Kuchh Keh Doon
Kisi Din Tu Bhi Kuchh Keh Le, Kisi Din Main Bhi Kuchh Keh Doon
Kisi Din Main Bhi Kuchh Keh Doon
Tera Darr Mera Sharmaana, Tera Darr Mera Sharmaana
Na Yeh Achchha, Na Woh Achchha
Tera Aana, Tera Jaana, Tera Aana, Tera Jaana
Na Yeh Achchha, Na Woh Achchha.....

Tu Chaahe Pehle Main Bolun, Main Chaahun Pehle Tu Bole
Main Chaahun Pehle Tu Bole
Tu Chaahe Pehle Main Bolun, Main Chaahun Pehle Tu Bole
Main Chaahun Pehle Tu Bole
Yeh Hai Dono Ka Afsaana, Yeh Hai Dono Ka Afsaana
Na Yeh Achchha, Na Woh Achchha
Tera Aana, Tera Jaana, Tera Aana, Tera Jaana
Na Yeh Achchha, Na Woh Achchha!

Film - Doctor Shaitaan 1960
MD - N.Dutta
Lyricist - Jaan Nisaar Akhtar
Singer(s) - Geeta Dutt, Mohd.Rafi & Chorus

Tum Mile Jo Din Dhale, Peeechhe Peechhe Hum Chale
May I Know Your Name, Name, Name
Jaa Re Jaa O Manchale, Peechhe Dekho Pad Chale< Chhede Hum Ko Shame, Shame Shame
Tum Mile Jo Din Dhale, Peeechhe Peechhe Hum Chale
May I Know Your Name, Name, Name
Jaa Re Jaa O Manchale, Peechhe Dekho Pad Chale
Chhede Hum Ko Shame, Shame Shame....

Badi Tum Nidar, Chali Yoon Kidhar, Khade Kab Se Hum, Zara Phainko Nazar
Badi Tum Nidar, (aha) Chali Yoon Kidhar, (ho ho) Khade Kab Se Hum, (aha) Zara Phainko Nazar
Chale Tu Idhar Toh Kabhi Udhar, Tere Dil Mein Kya, Humein Sab Hai Khabar
Chale Tu Idhar (aha) Toh Kabhi Udhar, (aha) Tere Dil Mein Kya (oho) Humein Sab Hai Khabar
Tum Mile Jo Din Dhale, Peeechhe Peechhe Hum Chale, May I Know Your Name, Name, Name
Jaa Re Jaa O Manchale, Peechhe Dekho Pad Chale, Chhede Hum Ko Shame, Shame Shame....

Kabhi Tum Yahan, Kabhi Tum Wahan, Zara Sun Toh Lo Kahe Kya Yeh Samaa
Kabhi Tum Yahan, (aha) Kabhi Tum Wahan, (oho) Zara Sun Toh Lo (aha) Kahe Kya Yeh Samaa
Arrey Main Kahan, Arrey Tu Kahan, Mere Munh Na Lag, Bada Aaya Jawaan
Arrey Main Kahan, (aha ha ha) Arrey Tu Kahan, (aha ha ha) Mere Munh Na Lag, (ho ho) Bada Aaya Jawaan
Tum Mile Jo Din Dhale, Peeechhe Peechhe Hum Chale
May I Know Your Name, Name, Name
Jaa Re Jaa O Manchale, Peechhe Dekho Pad Chale
Chhede Hum Ko Shame, Shame Shame....

Aji Kis Ghadi Yeh Nazar Ladi, Zara Dum Toh Lo, Badi Mushkil Padi
Aji Kis Ghadi (aha) Yeh Nazar Ladi, (aha) Zara Dum Toh Lo, (aha) Badi Mushkil Padi
Rahun Main Khadi, Mujhe Kya Padi, Arrey Jaa Re Jaa, Kare Baatein Badi
Rahun Main Khadi, (aa haaye haaye) Mujhe Kya Padi, (aaye haaye haaye) Arrey Jaa Re
Jaa, (hoo hoo hoo) Kare Baatein Badi
Tum Mile Jo Din Dhale, Peeechhe Peechhe Hum Chale
May I Know Your Name, Name, Name
Jaa Re Jaa O Manchale, Peechhe Dekho Pad Chale
Chhede Hum Ko Shame, Shame Shame!

Film - Roop Kumari 1956
MD - S.N.Tripathi
Lyricist - B.D.Mishra
Singer(s) - Geeta Dutt & Manna Dey

Geeta Dutt: Woh Dekho Udhar Chaand Nikla Gagan Mein
Mann Dey: Idhar Aa Gayi Chaandni Muskuraati
Both: Bahaaron Ki Rangeen Yeh Muskurahat<
Dilon Mein Umangon Ki Duniya Basaati
Woh Dekho Udhar Chaand.....

Geeta Dutt: Na Jaane Nasha Aaj Kyon Chhaa Raha Hai
Manna Dey: Yeh Har Baat Pe Pyaar Kyon Aa Raha Hai (2)
Both: Na Apni Khabar Hai, Na Sudh Hai Kisi Ki (2)
Yehi Bekhudi Dil Se Dil Ko Milaati
Woh Dekho Udhar Chaand....

Manna Dey: Nayi Aas Ke Phool Khilne Lage Hain
Ke Armaan Dil Mein Machalne Lage Hain (2)
Geeta Dutt: Udhar Koi Karta Hai Hans Ke Ishaare (2)
Idhar Laaj Ghunghat Mein Aankhein Chhupaati
Both: Woh Dekho Udhar Chaand!

Film - Sailaab 1956
MD - Mukul Roy
Lyricist - Shailendra
Singer(s) - Geeta Dutt

Yeh Rut Yeh Raat Jawaan, Bekal Dil Ke Armaan
Aise Mein Tu Kahan, Mere Dilbar Aa Mere Mein Sama
Yeh Rut Yeh Raat Jawaan, Bekal Dil Ke Armaan
Aise Mein Tu Kahan, Mere Dilbar Aa Mere Mein Sama
Aa Ke Mastiyon Mein Dooba Hai Jahan Haaye...

Chhup Chhup Ke Milne Milaane Ke Din (2)
Aankhon Se Nindiya Churaane Ke Din (2)
Yeh Yeh Gori Ratiyan Tujhe Rahi Bula (2)
Aa Ke Mastiyon Mein Dooba Hai Jahan Haaye
Yeh Rut Yeh Raat Jawaan, Bekal Dil Ke Armaan
Aise Mein Tu Kahan, Mere Dilbar....

Jee Yeh Chaahe Ke Yeh Shamma Bujha Doon (2)
Chaand Aur Taaron Ko Parde Mein Chhupa Doon (2)
Andhere Mein Tu Apni Raah Bhool Ke Aa Jaa (2)
Aa Ke Mastiyon Mein Dooba Hai Jahan Haaye
Yeh Rut Yeh Raat Jawaan, Bekal Dil Ke Armaan
Aise Mein Tu Kahan, Mere Dilbar Aa Mere Mein Sama
Aa Ke Mastiyon Mein Dooba Hai Jahan Haaye!

Film - Zimbo 1958
MD - Chitragupta
Lyricist - Majrooh Sultanpuri
Singer(s) - Geeta Dutt & Chorus

Hoooooooo Hoooooo Hoooooo (Chorus)
Yeh Raatein (Aha), Yeh Baatein (Hoo Hoo)
Yeh Raatein (Aha), Yeh Baatein (Hoo Hoo)
Mausam Kya Hai O Bekhabar, Mere Jalwe Teri Nazar
Yeh Raatein (Aha), Yeh Baatein (Hoo Hoo)
Yeh Raatein (Aha), Yeh Baatein (Hoo Hoo)
Hooo Hooo Hooo....

Zulfon Ki Rut Kaali Kaali, Nazarein Nasheeli Matwaali (2)
Aha Ha Haa, Samaa Yeh Hai Tere Liye, Tere Liye, Mere Liye
Tu Maan Jaaye Agar
Yeh Raatein (Aha), Yeh Baatein (Hoo Hoo)
Yeh Raatein (Aha), Yeh Baatein (Hoo Hoo)
Hooo Hoo Hooo....

Masti Mein Aaja O Deewane, Chhed De Hazaaron Afsaane (2)
Aha Ha Haa, Nazar Mile, Shamaa Jale, Shamaa Jale, Samaa Khile
Ho Phir Dilon Ka Safar
Yeh Raatein (Aha), Yeh Baatein (Hoo Hoo)
Yeh Raatein (Aha), Yeh Baatein (Hoo Hoo)
Hoo Hooo Hooo......

Sun Le Sanam Meri Baatein, Jaa Ke Nahin Aayengi Yeh Raatein (2)
Aha Ha Haa, Aa Jaa Karein Koi Jatan, Koi Jatan, O Jaan-e-Mann
Ke Mil Hi Jaaye Nazar
Yeh Raatein (Aha), Yeh Baatein (Hoo Hoo)
Yeh Raatein (Aha), Yeh Baatein (Hoo Hoo)
Mausam Kya Hai O Bekhabar, Mere Dil Mein Teri Nazar
Yeh Raatein (Aha), Yeh Baatein (Hoo Hoo)
Yeh Raatein (Aha), Yeh Baatein (Hoo Hoo)
Hooo Hooo Hooooooo!

Film - Armaan 1953
MD - S.D.Burman
Lyricist - Sahir Ludhianvi
Singer(s) - Geeta Dutt

Yeh Hansi, Yeh Khushi, Laakhon Baras Yoon Hi Aaye
Yeh Hansi, Yeh Khushi, Laakhon Baras Yoon Hi Aaye..

Naujawaani Teri Geet Gaati Rahe, Zindagi Naaz Se Muskuraati Rahe (2)
Dum-B-Dum Roop Ki Dhoop Chadti Rahe, Har Ada Teri Jaadu Jagaati Rahe
Yeh Tera Baankpan, Sabke Dilon Mein Samaaye
Yeh Hansi, Yeh Khushi, Laakhon Baras Yoon Hi Aaye...

Aarzoo Ke Chaman Mein Bahaar Aa Gayi, Har Khushi Karke Solah Singaar Aa Gayi (2)
Aaj Sab Dil Ke Armaan Poore Hue, Woh Ghadi Jiska Tha Intezaar, Aa Gayi
Pyaar Ne Jhoom Ke, Khushiyon Ke Moti Lutaaye
Yeh Hansi, Yeh Khushi, Laakhon Baras Yoon Hi Aaye...

Dhadaknon Ka Taraana Badalne Ko Hai, Aaj Saara Zamaana Badalne Ko Hai (2)
Zindagi Le Rahi Hai Nayi Karwatein, Har Puraana Fasaana Badalne Ko Hai
Yeh Hawa, Yeh Fizaan, Kya Jaane Kya Rang Laaye
Yeh Hansi, Yeh Khushi, Laakhon Baras Yoon Hi Aaye!!

Film - Hamaari Manzil 1949
MD - Husnlal Bhagatram
Lyricist -
Singer(s) - Geeta Dutt

Nainon Se Nain Mila Ke, Jiya Tadpa Gaye, Ho Jiya Tadpa Gaye
Dheere Dheere Muskura Ke, Apna Bana Gaye, Apna Bana Gaye
Nainon Se Nain Mila Ke, Jiya Tadpa Gaye, Ho Jiya Tadpa Gaye
Dheere Dheere Muskura Ke, Apna Bana Gaye, Apna Bana Gaye....

Jaane Kahan Se Aaye, Dil Ko Churaane Waale
Raah Jaate Jaate Yoon Hi, Pyaar Jataane Waale
Jaane Kahan Se Aaye, Dil Ko Churaane Waale
Raah Jaate Jaate Yoon Hi, Pyaar Jataane Waale
Pyaar Jata Ke Mujhe Apna Bana Gaye, Apna Bana Gaye
Nainon Se Nain Mila Ke, Jiya Tadpa Gaye, Ho Jiya Tadpa Gaye
Dheere Dheere Muskura Ke, Apna Bana Gaye, Apna Bana Gaye...

Dekha Mujhe Pyaar Se Main Sapnon Mein Kho Gayi
Woh Mere Ho Ya Na Ho, Unki Main Ho Gayi
Dekha Mujhe Pyaar Se Main Sapnon Mein Kho Gayi
Woh Mere Ho Ya Na Ho, Unki Main Ho Gayi
Chori Chori Aake Meri Duniya Basa Gaye, Duniya Basa Gaye
Nainon Se Nain Mila Ke, Jiya Tadpa Gaye, Ho Jiya Tadpa Gaye
Dheere Dheere Muskura Ke, Apna Bana Gaye, Apna Bana Gaye
Nainon Se Nain Mila Ke, Jiya Tadpa Gaye, Ho Jiya Tadpa Gaye
Dheere Dheere Muskura Ke, Apna Bana Gaye, Apna Bana Gaye!

 
 
Lyrics of Famous songs All Lyrics of Lesser Heard songs Lyrics of Lesser Heard songs
Home | About Geeta | Professional Career | Co-Singers | Music Directors | Database | Tributes | Links
CD/Cassettes | Did You Know | Feedback | Sitemap | Contact